tere pyaar men rusva ho kar jaayen kahaan deewane log jaane kya kya pooch rahe hain ye jaane-pahchaane log har lamha ehsaas ki sahaba rooh men dhalti jaati hai zeest ka nashsha kuchh kam ho to ho aayen may-khaane log jaise tumhein ham ne chaaha hai kaun bhala yuñ chahega maana aur bahut aayenge tum se pyaar jataane log yuñ galiyon bazaaron men aawaara firte rahte hain jaise is duniya men sabhi aa.e hon umr ganwaane log aage peeche daayen baayen s aa.e se lehraate hain duniya bhi to dast-e-bala hai ham hi nahin deewane log kaise dukhon ke mausam aa.e kaisi aag lagii yaaro ab seharaaon se laate hain phoolon ke nazaane log kal maatam be-qeemat hogaa aaj un ki tauqeer karo dekho khoon-e-jigar se kya kya likhte hain afsaane log
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Obaidullah Aleem
aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e
Obaidullah Aleem
1 likes
hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte
Obaidullah Aleem
1 likes
vo raat be-panaah thii aur main gareeb tha vo jis ne ye charaaghh jalaya ajeeb tha vo raushni ki aankh uthaai nahin gaii kal mujh se meraa chaand bahut hi qareeb tha dekha mujhe to taba ravaan ho gaii mirii vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne vo yuñ bhi tha tabeeb vo yuñ bhi tabeeb tha har silsila tha us ka KHuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb tha main bhi raha hooñ khalvat-e-jaanan men ek shaam ye KHvaab hai ya Vaaqaii main khush-naseeb tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab men KHud meraa tajurba hai vo be-had najeeb tha dekha hai us ko khilwat o jalvat men baar-ha vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleemus ko dikha na paao vo aisa habeeb tha
Obaidullah Aleem
0 likes
sahib-e-mehr-o-wafa arz-o-sama kyun chup hai ham pe to vaqt ke pahre hain KHuda kyun chup hai be-sabab gham men sulagna mirii aadat hi sahi saaz KHaamosh hai kyun shola-nava kyun chup hai phool to sahm ga.e dast-e-karam se dam-e-subh gungunaati hui aawaara saba kyun chup hai khatm hogaa na kabhi silsila-e-ahl-e-wafa soch ai daavar-e-maqtal ye fazaa kyun chup hai mujh pe taari hai rah-e-ishq ki aasooda thakan tujh pe kya guzri mire chaand bataa kyun chup hai jaanne waale to sab jaan ga.e honge aleem ek muddat se tira zehn-e-rasa kyun chup hai
Obaidullah Aleem
0 likes
koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun
Obaidullah Aleem
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Obaidullah Aleem.
Similar Moods
More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.







