tha junun kitna meri chahat men zulm sahta huun ab mohabbat men dekh kar khud ko main hua hairan kitna badla huun us ki chahat men duur jaane se kuchh nahin badla bas izafa hua aziyyat men ab main itna hi chahta huun bas maut likh duun main apni qismat men bevafai agar na ki hoti munh chhupate nahin nadamat men koi tha hi nahin vahan mera saare bole tiri himayat men jo sajai thi shauq se main ne mar gaya huun usi 'imarat men roz khud ko badalte rahte ho rang kitne hain teri rangat men mujh ko ab zahr dijiye koi farq aaya nahin tabi'at men jin ko paala tha apne hathon se kaam aae nahin musibat men tha junun kitna meri chahat mein zulm sahta hun ab mohabbat mein dekh kar khud ko main hua hairan kitna badla hun us ki chahat mein dur jaane se kuchh nahin badla bas izafa hua aziyyat mein ab main itna hi chahta hun bas maut likh dun main apni qismat mein bewafai agar na ki hoti munh chhupate nahin nadamat mein koi tha hi nahin wahan mera sare bole teri himayat mein jo sajai thi shauq se main ne mar gaya hun usi 'imarat mein roz khud ko badalte rahte ho rang kitne hain teri rangat mein mujh ko ab zahr dijiye koi farq aaya nahin tabi'at mein jin ko pala tha apne hathon se kaam aae nahin musibat mein
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohammad Moazzam Mauj.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohammad Moazzam Mauj's ghazal.







