tiri samt jaane ka raasta nahin ho raha rah-e-ishq men koi mo'jiza nahin ho raha koi aaina ho jo KHud se mujh ko mila sake mira apne-aap se saamna nahin ho raha tu khuda-e-husn-o-jamaal hai to hua kare teri bandagi se mira bhala nahin ho raha koi raat aa ke thehar gaii mirii zaat men mira raushni se bhi raabta nahin ho raha use apne honton ka lams do ki ye saans le ye jo ped hai ye hara-bhara nahin ho raha
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
More from Azhar Iqbal
mujh ko vehshat hui mire ghar se raat teri judaai ke dar se teri furqat ka habs tha andar aur dam ghut raha tha baahar se jism ki aag bujh gaii lekin phir nadaamat ke ashk bhi barase ek muddat se hain safar men ham ghar men rah kar bhi jaise beghar se baar-ha teri justuju men ham tujh se milne ke baad bhi tarse
Azhar Iqbal
11 likes
hui na khatm teri rahguzar kya karte tere hisaar se KHud ko firaar kya karte safeena ghark hi karna pada ha men aaKHir tire baghair samundar ko paar kya karte bas ek sukoot hi jis ka javaab hona tha vahii sawaal miyaan baar baar kya karte phir is ke baad manaaya na jashn khushboo ka lahu men doobi thii fasl-e-bahaar kya karte nazar ki zad men naye phool aa ga.e azhar gaii rutoon ka bhala intizaar kya karte
Azhar Iqbal
6 likes
zameen-e-dil ik arse baa'd jal-thal ho rahi hai koi baarish mere andar musalsal ho rahi hai lahu ka rang faila hai hamaare canvas par teri tasveer ab ja kar mukammal ho rahi hai hawa-e-taaza ka jhonka chala aaya kahaan se ki muddat baa'd si paani men halchal ho rahi hai tujhe dekhe se mumkin maghfirat ho jaa.e us ki tere beemaar ki bas aaj aur kal ho rahi hai vo sahab aa hi gaii band-e-qaba kholne lage hain paheli thii jo ik uljhi hui hal ho rahi hai
Azhar Iqbal
13 likes
vo mahtaab abhii baam par nahin aaya mirii duaon men shaayad asar nahin aaya bahut ajeeb hai yaaron bulandiyon ka tilism jo ek baar gaya laut kar nahin aaya ye kaayenaat ki wus'at khulii nahin mujh par main apni zaat se jab tak guzar nahin aaya bahut dinon se hai be-shakl si mirii miTTi bahut dinon se koi kooza-gar nahin aaya bas ek lamhe ko be-pairahan use dekha phir is ke baad mujhe kuchh nazar nahin aaya ham ab bhi dasht men KHema lagaaye baithe hain hamaare hisse men apna hi ghar nahin aaya zameen baanjh na ho jaa.e kuchh kaho azhar sukhun ki shaakh pe kab se samar nahin aaya
Azhar Iqbal
10 likes
dil ki gali men chaand nikalta rehta hai ek diya ummeed ka jalta rehta hai jaise jaise yaadon ki lau badhti hai vaise vaise jism pighlata rehta hai sargoshi ko kaan tarsate rahte hain sannaata awaaz men dhalta rehta hai manzar manzar jee lo jitna jee paao mausam pal pal rang badalta rehta hai raakh hui jaati hai saari hariyaali aankhoñ men jungle sa jalta rehta hai tum jo ga.e to bhool ga.e saari baatein vaise dil men kya kya chaltaa rehta hai
Azhar Iqbal
12 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Azhar Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Azhar Iqbal's ghazal.







