tujh se girveeda yak zamaana raha kuchh faqat main hi mubtala na raha aap ko ab hui hai qadr-e-wafa jab ki main laaiq-e-jafa na raha raah-o-rasm-e-wafa vo bhool ga.e ab ha men bhi koi gilaa na raha husn KHud ho gaya ghareeb-nawaaz ishq muhtaaj-e-iltija na raha bas-ki nazzara-soz tha vo jamaal hosh-e-nazzaragi baja na raha main kabhi tujh se bad-gumaan na hua tu kabhi mujh se aashna na raha aap ka shauq bhi to ab dil men aap ki yaad ke siva na raha aur bhi ho ga.e vo ghaafil-e-khwaab naala-e-subh-e-na-rasa na raha husn ka naaz aashiqi ka niyaaz ab to kuchh bhi vo maajra na raha ishq jab shikwa sanj-e-husn hua iltijaa ho gaii gilaa na raha ham bharose pe un ke baith rahe jab kisi ka bhi aasraa na raha mere gham ki hui unhen bhi khabar ab to ye dard la-dava na raha aarzoo teri barqaraar rahe dil ka kya hai raha raha na raha ho ga.e khatm mujh pe zor-e-falak ab koi morid-e-bala na raha jab se dekhi abul-kalaam ki nasr nazzm-e-hasrat men bhi mazaa na raha
Related Ghazal
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
More from Hasrat Mohani
aasaan-e-haqeeqi hai na kuchh sahl-e-majaazi maaloom hui raah-e-mohabbat ki daraazi kuchh lutf o nazar laazim o malzoom nahin hain ik ye bhi tamannaa ki na ho shobda baazi dil khoob samajhta hai tire harf-e-karam ko har-chand vo urdu hai na turki hai na taazi qaaim hai na vo husn-e-rukh-e-yaar ka aalam baaki hai na vo shauq ki hangaama-nawaazi ai ishq tiri fateh bahr-haal hai saabit mar kar bhi shaheedaan-e-mohabbat hue ghaazi kar jald ha men khatm kahii ai gham-e-jaanaan kaam aayegi kis roz tiri seena-gudaazi maaloom hai duniya ko ye hasrat ki haqeeqat khilwat men vo may-khwaar hai jalvat men namaazi
Hasrat Mohani
0 likes
kya vo ab naadim hain apne jaur ki roodaad se laaye hain meerut jo aaKHir mujh ko faizaabaad se sair-e-gul ko aayi thii jis dam sawaari aap ki phool utha tha chaman fakhr-e-mubaarakbaad se har kas-o-na-kas ho kyunkar kaamgaar-e-be-khu dii ye hunar seekha hai dil ne ik bade ustaad se ik jahaan mast-e-mohabbat hai ki har soo b-e-uns chhaai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se ab talak maujood hai kuchh kuchh laga laaye the ham vo jo ik lapka kabhi na khaak-e-jahaan aabaad se daava-e-taqva ka hasrat kis ko aata hai yaqeen aap aur jaate rahen peer-e-mugaan ki yaad se
Hasrat Mohani
2 likes
dil ko khayaal-e-yaar ne makhmoor kar diya saaghar ko rang-e-baada ne pur-noor kar diya maanoos ho chala tha tasalli se haal-e-dil phir tu ne yaad aa ke b-dastoor kar diya gustaakh-dastiyon ka na tha mujh men hausla lekin hujoom-e-shauq ne majboor kar diya kuchh aisi ho gaii hai tere gham men mubtila goya kisi ne jaan ko mashhoor kar diya betaabiyon se chhup na sakaa maajra-e-dil aaKHir huzoor-e-yaar bhi mazkoor kar diya ahl-e-nazar ko bhi nazar aaya na roo-e-yaar yaa tak hijaab-e-noor ne mastur kar diya hasrat bahut hai martaba-e-aashiqi buland tujh ko to muft logon ne mashhoor kar diya
Hasrat Mohani
0 likes
aur bhi ho ga.e begaana vo ghaflat kar ke aazmaaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke dil ne chhodaa hai na chhode tire milne ka khayal baar-ha dekh liya ham ne malaamat kar ke dekhne aa.e the vo apni mohabbat ka asar kehne ko ye hai ki aa.e hain ayaadat kar ke pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salaah baith rahiye gham-e-hijraan pe qanaat kar ke dil ne paaya hai mohabbat ka ye aali rutba aap ke dard-e-dawaakaar ki khidmat kar ke rooh ne paai hai takleef-e-judaai se najaat aap ki yaad ko sarmaaya-e-raahat kar ke chhed se ab vo ye kahte hain ki sambhalon hasrat sabr o taab-e-dil-e-beemaar ko gharaat kar ke
Hasrat Mohani
0 likes
apna sa shauq auron men laayein kahaan se ham ghabra ga.e hain be-dili-e-hamrahaan se ham kuchh aisi door bhi to nahin manzil-e-muraad lekin ye jab ki chhoot chalen kaarwaan se ham ai yaad-e-yaar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr masroor hain tiri khalish-e-na-tavaan se ham maaloom sab hai poochte ho phir bhi muddaa ab tum se dil ki baat kahein kya zabaan se ham ai zohd-e-khushk teri hidaayat ke vaaste saugaat-e-ishq laaye hain koo-e-butaan se ham betaabiyon se chhup na sakaa haal-e-aarzoo aaKHir bache na us nigah-e-bad-guma se ham peeraana-sar bhi shauq ki himmat buland hai khwaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham mayus bhi to karte nahin tum z-raah-e-naaz tang aa ga.e hain kashmakash-e-imtihaan se ham khilwat banegi tere gham-e-jaan-navaaz ki lenge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham hai intiha-e-yaas bhi ik ibtida-e-shauq phir aa ga.e wahin pe chale the jahaan se ham hasrat phir aur ja ke karen kis ki bandagi achha jo sar uthaaye bhi is aastaan se ham
Hasrat Mohani
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hasrat Mohani.
Similar Moods
More moods that pair well with Hasrat Mohani's ghazal.







