ghazalKuch Alfaaz

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost tu mirii pahli mohabbat thii mirii aakhiri dost log har baat ka afsaana banaa dete hain ye to duniya hai mirii jaañ kaii dushman kaii dost tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi mirii chaahat ko bhi duniya ki nazar kha gaii dost yaad aayi hai to phir toot ke yaad aayi hai koi guzri hui manzil koi bhooli hui dost ab bhi aa.e ho to ehsaan tumhaara lekin vo qayamat jo guzarni thii guzar bhi gaii dost tere lehje ki thakan men tira dil shaamil hai aisa lagta hai judaai ki ghadi aa gaii dost baarish-e-sang ka mausam hai mire shahar men to tu ye sheeshe sa badan le ke kahaan aa gaii dost main use ahd-shikan kaise samajh luun jis ne aakhiri khat men ye likkha tha faqat aap ki dost

Ahmad Faraz13 Likes

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Ahmad Faraz

dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan

Ahmad Faraz

1 likes

kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare

Ahmad Faraz

8 likes

KHaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete kya beet gaii ab ke faraaz ahl-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyun nahin dete

Ahmad Faraz

4 likes

jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue

Ahmad Faraz

9 likes

ajab junoon-e-masaafat men ghar se niklaa tha khabar nahin hai ki suraj kidhar se niklaa tha ye kaun phir se unhin raaston men chhod gaya abhii abhii to azaab-e-safar se niklaa tha ye teer dil men magar be-sabab nahin utara koi to harf lab-e-chaaragar se niklaa tha ye ab jo aag banaa shahar shahar faila hai yahii dhuaan mire deewar-o-dar se niklaa tha main raat toot ke roya to chain se soya ki dil ka zahar mirii chashm-e-tar se niklaa tha ye ab jo sar hain khameeda kulaah ki khaatir ye aib bhi to ham ahl-e-hunr se niklaa tha vo qais ab jise majnoon pukaarte hain faraaz tiri tarah koi deewaana ghar se niklaa tha

Ahmad Faraz

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.