tumhaara haath jab mire larzate haath se chhoota khizaan ke aakhiri din the vo mohkam be-lachak vaa'da khilaune ki tarah toota khizaan ke aakhiri din the bahaar aayi na thii lekin hawaon men naye mausam ki khushboo raqs karti thii achaanak jab kaha tum ne mire munh par mujhe jhoota khizaan ke aakhiri din the vo kya din the yahiin ham ne bahaaron ki dua ki thii kisi ne bhi nahin socha chaman waalon ne mil kar jab KHud apna hi chaman lootaa khizaan ke aakhiri din the likha tha ek takhti par koi bhi phool mat tode magar aandhi to an-padh thii so jab vo baagh se guzri koi ukhadta koi toota khizaan ke aakhiri din the bahut hi zor se peete hawa ke bein par seene hamaare khair-khwaaho ne ki chaan dii ke varq jaisa samay ne jab ha men koota khizaan ke aakhiri din the na rut thii aandhiyon ki ye na mausam tha hawaon ka to phir ye kya hua amjad har ik konpal hui zakhmi hua majrooh har boota khizaan ke aakhiri din the
Related Ghazal
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
More from Amjad Islam Amjad
parde men laakh phir bhi numoodaar kaun hai hai jis ke dam se garmi-e-baazaar kaun hai vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake mere aur us ke beech ye deewaar kaun hai baagh-e-wafaa men ho nahin saka ye faisla sayyaad yaa pe kaun girftaar kaun hai maana nazar ke saamne hai be-shumaar dhund hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai kuchh bhi nahin hai paas pe rehta hai phir bhi KHush sab kuchh hai jis ke paas vo bezaar kaun hai yuñ to dikhaai dete hain asraar har taraf khulta nahin ki saahib-e-asraar kaun hai amjad alag si aap ne khuli hai jo dukaaan jins-e-hunar ka yaa ye khareedaar kaun hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
raat main is kashmakash men ek pal soya nahin kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin yuñ agar sochun to ik ik naqsh hai seene pe naqsh haaye vo chehra ki phir bhi aankh men banta nahin kyun udaati phir rahi hai dar-b-dar mujh ko hawa main agar ik shaakh se toota hua patta nahin aaj tanhaa hooñ to kitna ajnabi maahol hai ek bhi raaste ne tere shahar men roka nahin harf barg-e-khushk ban kar tootte girte rahe guncha-e-arz-e-tamanna hont par foota nahin dard ka rastaa hai ya hai saa'at-e-roz-e-hisaab saikron logon ko roka ek bhi thehra nahin shabnami aankhoñ ke jugnoo kaanpate honton ke phool ek lamha tha jo amjad aaj tak guzra nahin
Amjad Islam Amjad
0 likes
kisi ki aankh men KHud ko talash karna hai phir us ke b'ad ha men aainon se darna hai falak ki band gali ke faqeer hain taare ki ghoom phir ke yahiin se unhen guzarna hai jo zindagi thii mirii jaan tere saath gaii bas ab to umr ke naqshe men vaqt bharna hai jo tum chalo to abhii do qadam men kat jaa.e jo fasla mujhe sadiyon men paar karna hai to kyun na aaj yahiin par qayaam ho jaa.e ki shab qareeb hai aaKHir kahii theharna hai vo meraa sail-e-talb ho ki teri raa'naai chadha hai jo bhi samundar use utarna hai sehar hui to sitaaron ne moond leen aañkhen vo kya karen ki jinhen intizaar karna hai ye KHvaab hai ki haqeeqat khabar nahin amjad magar hai jeena yahiin par yahiin pe marna hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
nikal ke halka-e-shaam-o-sehr se jaayen kahii zameen ke saath na mil jaayen ye khalaayein kahii safar ki raat hai pichhli kahaaniyaan na kaho rutoon ke saath palatti hain kab hawaaein kahii fazaa men tairte rahte hain naqsh se kya kya mujhe talash na karti hon ye balaaen kahii hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya tanaabein khema-e-jaan ki na toot jaayen kahii main os ban ke gul-e-harf par chamakta hooñ nikalne vaala hai suraj mujhe chhupaayein kahii mire vujood pe utri hain lafz ki soorat bhatk rahi theen khalaon men ye sadaaein kahii hawa ka lams hai paanv men bediyo ki tarah shafaq ki aanch se aañkhen pighal na jaayen kahii ruka hua hai sitaaron ka kaarwaan amjad charaaghhh apne lahu se hi ab jalaaen kahii
Amjad Islam Amjad
0 likes
bheed men ik ajnabi ka saamna achha laga sab se chhup kar vo kisi ka dekhna achha laga sur main aankhoñ ke neeche phool se khilne lage kahte kahte kuchh kisi ka sochna achha laga baat to kuchh bhi nahin theen lekin us ka ek dam haath ko honton pe rakh kar rokna achha laga chaai men cheeni milaana us ghadi bhaaya bahut zer-e-lab vo muskurata shukriya achha laga dil men kitne ahd baandhe the bhulaane ke use vo mila to sab iraade todna achha laga be-iraada lams ki vo sansanee pyaari lagii kam tavajjoh aankh ka vo dekhna achha laga neem-shab ki khaamoshi men bheegti sadkon pe kal teri yaadon ke jilau men ghoomna achha laga is adoo-e-jaan ko amjad main bura kaise kahooñ jab bhi aaya saamne vo be-vafa achha laga
Amjad Islam Amjad
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amjad Islam Amjad.
Similar Moods
More moods that pair well with Amjad Islam Amjad's ghazal.







