udaas raat hai koi to khvab de jaao mire gilas men thodi sharab de jaao bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti men faqir kab se khada hai javab de jaao main zard patton pe shabnam saja ke laaya huun kisi ne mujh se kaha tha hisab de jaao adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain gae zamanon ki koi kitab de jaao phir us ke baa'd nazare nazar ko tarsenge vo ja raha hai khizan ke gulab de jaao miri nazar men rahe dubne ka manzar bhi ghhurub hota hua aftab de jaao hazar safhon ka divan kaun padhta hai 'bashir-badr' ka koi intikhab de jaao udas raat hai koi to khwab de jao mere gilas mein thodi sharab de jao bahut se aur bhi ghar hain khuda ki basti mein faqir kab se khada hai jawab de jao main zard patton pe shabnam saja ke laya hun kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao adab nahin hai ye akhbar ke tarashe hain gae zamanon ki koi kitab de jao phir us ke ba'd nazare nazar ko tarsenge wo ja raha hai khizan ke gulab de jao meri nazar mein rahe dubne ka manzar bhi ghurub hota hua aaftab de jao hazar safhon ka diwan kaun padhta hai 'bashir-badr' ka koi intikhab de jao
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Bashir Badr
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
phool barase kahii shabnam kahii gauhar barase aur is dil ki taraf barase to patthar barase koi baadal ho to tham jaa.e magar ashk mire ek raftaar se din raat barabar barase barf ke phoolon se raushan hui tareek zameen raat ki shaakh se jaise mah o akhtar barase pyaar ka geet andheron pe ujaalon ki fuwaar aur nafrat ki sadaa sheeshe pe patthar barase baarishen chat pe khulii jagahon pe hoti hain magar gham vo saawan hai jo un kamron ke andar barase
Bashir Badr
4 likes
mirii ghazal ki tarah us ki bhi hukoomat hai tamaam mulk men vo sab se khoobsurat hai kabhi kabhi koi insaan aisa lagta hai purane shahar men jaise nayi imarat hai jamee hai der se kamre men ghaybaton ki nashisht fazaa men gard hai maahol men kudoorat hai bahut dinon se mire saath thii magar kal shaam mujhe pata chala vo kitnii khoobsurat hai ye zaairaan-e-ali-garh ka khaas tohfa hai mirii ghazal ka tabarruk dilon ki barkat hai
Bashir Badr
4 likes
sau khuloos baaton men sab karam khayaalon men bas zaraa vafaa kam hai tere shahar waalon men pahli baar nazaron ne chaand bolte dekha ham javaab kya dete kho ga.e sawaalon men raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheda jaise koi chutki le narm narm gaalon men yuñ kisi ki aankhoñ men subh tak abhii the ham jis tarah rahe shabnam phool ke pyaalon men meri aankh ke taare ab na dekh paoge raat ke musaafir the kho ga.e ujaalon men jaise aadhi shab ke baa'd chaand neend men chaunke vo gulaab ki jumbish un siyaah baalon men
Bashir Badr
8 likes
jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko
Bashir Badr
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







