ghazalKuch Alfaaz

ug raha hai dar-o-divar pe sabza 'ghhalib' ham bayaban men hain aur ghar men bahar aai hai fursat-e-aina-e-sad-rang-e-khud-arai hai roz-o-shab yak kaf-e-afsos-e-tamashai hai vahshat-e-zakhm-e-vafa dekh ki sar-ta-sar dil bakhiya juun jauhar-e-teghh afat-e-girai hai shama-asa che sar-e-da'va va ku pa-e-sabat gul-e-sad-sho'la ba-yak -jeb-e-shakebai hai nala-e-khunin varaq-o-dil gul-e-mazmun-e-shafaq chaman-ara-e-chamanar-e-nafas vahshat-e-tanhai hai bu-e-gul fitna-e-bedar-o-chaman jama-e-khvab vasl bar rang-e-tapish kisvat-e-rusvai hai sharm tufan-e-khizan rang-e-tarab-gah-e-bahar mahtabi ba-kaf-e-chashm-e-tamashai hai baghh-e-khamoshi-e-dil se sukhan-e-'ishq 'asad' nafas-e-sokhta ramz-e-chaman imai hai ug raha hai dar-o-diwar pe sabza 'ghaalib' hum bayaban mein hain aur ghar mein bahaar aai hai fursat-e-aina-e-sad-rang-e-khud-arai hai roz-o-shab yak kaf-e-afsos-e-tamashai hai wahshat-e-zakhm-e-wafa dekh ki sar-ta-sar dil bakhiya jun jauhar-e-tegh aafat-e-girai hai shama-asa che sar-e-da'wa wa ku pa-e-sabaat gul-e-sad-sho'la ba-yak -jeb-e-shakebai hai nala-e-khunin waraq-o-dil gul-e-mazmun-e-shafaq chaman-ara-e-chamanar-e-nafas wahshat-e-tanhai hai bu-e-gul fitna-e-bedar-o-chaman jama-e-khwab wasl bar rang-e-tapish kiswat-e-ruswai hai sharm tufan-e-khizan rang-e-tarab-gah-e-bahaar mahtabi ba-kaf-e-chashm-e-tamashai hai bagh-e-khamoshi-e-dil se sukhan-e-'ishq 'asad' nafas-e-sokhta ramz-e-chaman imai hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Mirza Ghalib

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

zikr meraa b-badi bhi use manzoor nahin gair ki baat bigad jaa.e to kuchh door nahin vaada-e-sair-e-gulistaan hai khusa taale-e-shauq muzda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par ha men manzoor nahin qatra apna bhi haqeeqat men hai dariyaa lekin ham ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin hasrat ai zauq-e-kharaabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki goon tan-e-ranjur nahin main jo kahtaa hooñ ki ham lenge qayamat men tumhein kis ra'unat se vo kahte hain ki ham hoor nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaaful men kisi rang se ma'zoor nahin saaf durdi-kash-e-paimaana-e-jam hain ham log waaye vo baada ki afshurda-e-angoor nahin hooñ zuhoori ke muqaabil men khifaai ghalib mere daave pe ye hujjat hai ki mashhoor nahin

Mirza Ghalib

2 likes

hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz

Mirza Ghalib

0 likes

tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poochho hazar karo mire dil se ki is men aag dabii hai dila ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki aaKHirna giryaa-e-sehri hai na aah-e-neem-shabi hai nazar b-naqs-e-gadaayaan kamaal-e-be-adabi hai ki khaar-e-khushk ko bhi daava-e-chaman-nasbi hai hua visaal se shauq-e-dil-e-harees ziyaada lab-e-qadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai khusa vo dil ki saraapa tilism-e-be-khabri ho junoon o yaas o alam rizq-e-mudda-talbi hai chaman men kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamaasha ki berg barg-e-saman sheesha reza-e-halbi hai imaam-e-zaahir-o-baatin ameer-e-soorat-o-maani ali wali asadullah jaansheen-e-nabi hai

Mirza Ghalib

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.