umr guzregi imtihan men kya daaghh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi nuqs hai kuchh mire bayan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahi hota hai khandan men kya apni mahrumiyan chhupate hain ham ghharibon ki an-ban men kya khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mire guman men kya shaam hi se dukan-e-did hai band nahin nuqsan tak dukan men kya ai mire subh-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi baan men kya bolte kyuun nahin mire haq men aable pad gae zaban men kya khamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire guman men kya dil ki aate hain jis ko dhyan bahut khud bhi aata hai apne dhyan men kya vo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi huun main tiri amaan men kya yuun jo takta hai asman ko tu koi rahta hai asman men kya hai nasim-e-bahar gard-alud khaak udti hai us makan men kya ye mujhe chain kyuun nahin padta ek hi shakhs tha jahan men kya umr guzregi imtihan mein kya dagh hi denge mujh ko dan mein kya meri har baat be-asar hi rahi nuqs hai kuchh mere bayan mein kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahi hota hai khandan mein kya apni mahrumiyan chhupate hain hum gharibon ki aan-ban mein kya khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mere guman mein kya sham hi se dukan-e-did hai band nahin nuqsan tak dukan mein kya ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi ban mein kya bolte kyun nahin mere haq mein aable pad gae zaban mein kya khamushi kah rahi hai kan mein kya aa raha hai mere guman mein kya dil ki aate hain jis ko dhyan bahut khud bhi aata hai apne dhyan mein kya wo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi hun main teri aman mein kya yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya hai nasim-e-bahaar gard-alud khak udti hai us makan mein kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shakhs tha jahan mein kya
Related Ghazal
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Eliya.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.







