ghazalKuch Alfaaz

un se tanhai men baat hoti rahi ghhaebana mulaqat hoti rahi ham bulate vo tashrif laate rahe khvab men ye karamat hoti rahi kasa-e-chashm labrez hoti rahi us dariche se khairat hoti rahi dil bhi zor-azmai se haara nahin garche har martaba maat hoti rahi sar bachae raha sabr ka saeban asman se to barsat hoti rahi go mohabbat se ham ji churate rahe zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi shahr bhar men phiraya gaya qais ko kuche kuche mudarat hoti rahi jagte aur sote rahe ham 'shuur' din nikalta raha raat hoti rahi un se tanhai mein baat hoti rahi ghaebana mulaqat hoti rahi hum bulate wo tashrif late rahe khwab mein ye karamat hoti rahi kasa-e-chashm labrez hoti rahi us dariche se khairaat hoti rahi dil bhi zor-azmai se haara nahin garche har martaba mat hoti rahi sar bachae raha sabr ka saeban aasman se to barsat hoti rahi go mohabbat se hum ji churaate rahe zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi shahr bhar mein phiraya gaya qais ko kuche kuche mudaraat hoti rahi jagte aur sote rahe hum 'shuur' din nikalta raha raat hoti rahi

Related Ghazal

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

jab se usne kheecha hai khidki ka parda ek taraf uskaa kamra ek taraf hai baaki duniya ek taraf maine ab tak jitne bhi logon men KHud ko baanta hai bachpan se rakhta aaya hooñ teraa hissa ek taraf ek taraf mujhe jal dii hai uske dil men ghar karne ki ek taraf vo kar deta hai rafta rafta ek taraf yuñ to aaj bhi teraa dukh dil dahla deta hai lekin tujh se juda hone ke baad ka pehla hafta ek taraf uski aankhoñ ne mujhse meri khuddaari cheeni varna paanv ki thokar se kar deta tha main duniya ek taraf meri marzi thii main zarre chunta ya lahren chunta usne sehra ek taraf rakha aur dariyaa ek taraf

Tehzeeb Hafi

122 likes

maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain

Tehzeeb Hafi

116 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Anwar Shuoor.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Anwar Shuoor's ghazal.