unhen kyuun phuul dushman eid men pahnae jaate hain vo shakh-e-gul ki surat naaz se bal khaae jaate hain agar ham se khushi ke din bhi vo ghabrae jaate hain to kya ab eid milne ko farishte aae jaate hain vo hans kar kah rahe hain mujh se sun kar ghhair ke shikve ye kab kab ke fasane eid men dohrae jaate hain na chhed itna unhen ai vaada-e-shab ki pashemani ki ab to eid milne par bhi vo sharmae jaate hain 'qamar' afshan chuni hai rukh pe us ne is saliqe se sitare asman se dekhne ko aae jaate hain unhen kyun phul dushman eid mein pahnae jate hain wo shakh-e-gul ki surat naz se bal khae jate hain agar hum se khushi ke din bhi wo ghabrae jate hain to kya ab eid milne ko farishte aae jate hain wo hans kar kah rahe hain mujh se sun kar ghair ke shikwe ye kab kab ke fasane eid mein dohrae jate hain na chhed itna unhen ai wada-e-shab ki pashemani ki ab to eid milne par bhi wo sharmae jate hain 'qamar' afshan chuni hai rukh pe us ne is saliqe se sitare aasman se dekhne ko aae jate hain
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
More from Qamar Jalalvi
kabhi jo aankh pe gesoo-e-yaar hota hai sharaab-khaane pe abr-e-bahaar hota hai kisi ka gham ho mire dil pe baar hota hai usii ka naam gham-e-rozgaar hota hai ilaahi KHair ho un be-zabaan asiroon ki qafas ke saamne zikr-e-bahaar hota hai chaman men aise bhi do chaar hain chaman waale ki jin ko mausam-e-gul naagawaar hota hai sawaal-e-jaam tire may-kade men ai saaqi jawaab-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai ha men vafaa pe vafaa aaj tak na raas aayi unhen sitam pe sitam saazgaar hota hai labon pe aa gaya dam band ho chuki aañkhen chale bhi aao ki khatm intizaar hota hai kahaan vo vasl ki raatein kahaan ye hijr ke din khayaal-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai junoon to ek badi cheez hai mohabbat men zaraa se ashk se raaz aashkaar hota hai mire janaaze ko dekha to yaas se bole yahaañ pe aadmi be-ikhtiyaar hota hai KHuda rakhe tumhein kya koi jaur bhool ga.e jo ab talash hamaara mazaar hota hai hamaara zor hai kya baagbaan utha lenge ye aashiyaan jo tujhe naagawaar hota hai ajeeb kashmakash-e-bahr-e-gham men dil hai qamarna doobta hai ye beda na paar hota hai
Qamar Jalalvi
1 likes
kisi ka naam lo be-naam afsaane bahut se hainna jaane kis ko tum kahte ho deewane bahut se hain jafaon ke gale tum se KHuda jaane bahut se hain magar mahshar ka din hai apne begaane bahut se hain banaaye de rahi hain ajnabi naadaariyaan mujh ko tiri mehfil men warna jaane-pahchaane bahut se hain dhari rah jaayegi paabandi-e-zindaan jo ab chheda ye darbaanon ko samjha do ki deewane bahut se hain bas ab so jaao neend aankhoñ men hai kal phir sunaayenge zaraa si rah gaii hai raat afsaane bahut se hain tumhein kis ne bulaayaa may-kashon se ye na kah saaqi tabi'at mil gaii hai warna maykhaane bahut se hain badi qurbaaniyon ke baa'd rahna baagh men hogaa abhii to aashiyaan bijli se jalwaane bahut se hain likhi hai KHaak udaani hi agar apne muqaddar men tire kooche pe kya mauqoof veeraane bahut se hain na ro ai shama' maujooda patangon ki museebat par abhii mehfil se baahar tere parwaane bahut se hain mire kehne se hogii tark-e-rasm-o-raah ghairoon se baja hai aap ne kehne mire maane bahut se hain qamar allah saath eimaan ke manzil pe pahuncha de haram ki raah men sunte hain but-khaane bahut se hain
Qamar Jalalvi
0 likes
surkhiyaan kyun Dhoondh kar laaun fasaane ke li.e bas tumhaara naam kaafi hai zamaane ke li.e maujen saahil se hataati hain habaabon ka hujoom vo chale aa.e hain saahil par nahaane ke li.e sochta hooñ ab kahii bijli giri to kyun giri tinke laaya tha kahaan se aashiyaane ke li.e chhod kar bastii ye deewane kahaan se aa ga.e dasht ki baithi-bithaai KHaak udaane ke li.e hañs ke kahte ho zamaana bhar mujhi par jaan de rah ga.e ho kya tumheen saare zamaane ke li.e shaam ko aaoge tum achha abhii hoti hai shaam gesuon ko khol do suraj chhupaane ke li.e kaayenaat-e-ishq ik dil ke siva kuchh bhi nahin vo hi aane ke li.e hai vo hi jaane ke li.e ai zamaane bhar ko khushiyaan dene waale ye bataa kya qamar hi rah gaya hai gham uthaane ke li.e
Qamar Jalalvi
0 likes
kisi soorat sehar nahin hoti raat idhar se udhar nahin hoti khauf sayyaad se na barq ka dar baat ye apne ghar nahin hoti ek vo hain ki roz aate hain ek ham hain khabar nahin hoti ab main samjha hooñ kaat kar shab-e-gham zindagi mukhtasar nahin hoti kitnii paaband-e-waz'a hai shab-e-gham kabhi ghairoon ke ghar nahin hoti kitnii seedhi hai raah-e-mulk-e-adam haajat-e-raahbar nahin hoti sun liya hogaa tum ne haal-e-mareez ab davaa kaargar nahin hoti arsh milta hai meri aahon se lekin un ko khabar nahin hoti
Qamar Jalalvi
0 likes
baagh-e-aalam men rahe shaadi-o-maatam ki tarah phool ki tarah hanse ro diye shabnam ki tarah shikwa karte ho khushi tum se manaa'i na gaii ham se gham bhi to manaaya na gaya gham ki tarah roz mehfil se uthaate ho to dil dukhta hai ab nikalwao to phir hazrat-e-aadam ki tarah laakh ham rind sahi hazrat-e-wa'iz lekin aaj tak ham ne na pee qibla-e-aalam ki tarah tere andaaz-e-jaraahat ke nisaar ai qaateel KHoon zaKHmon pe nazar aata hai marham ki tarah khauf dil se na gaya subh ke hone ka qamar vasl ki raat guzaari hai shab-e-gham ki tarah
Qamar Jalalvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qamar Jalalvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Qamar Jalalvi's ghazal.







