us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga vo bhi meri hi tarah shahr men tanha hoga itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hoga pyaas jis nahr se takrai vo banjar nikli jis ko pichhe kahin chhod aae vo dariya hoga mire baare men koi raae to hogi us ki us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga ek mahfil men kai mahfilen hoti hain sharik jis ko bhi paas se dekhoge akela hoga us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hoga pyas jis nahr se takrai wo banjar nikli jis ko pichhe kahin chhod aae wo dariya hoga mere bare mein koi rae to hogi us ki us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
More from Nida Fazli
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya
Nida Fazli
1 likes
chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain
Nida Fazli
0 likes
jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage
Nida Fazli
1 likes
koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf kahaan hai shahar men ab koi zindagi ki taraf sabhi ki nazaron men ghaaeb tha jo vo haazir tha kisi ne ruk ke nahin dekha aadmi ki taraf tamaam shahar ki shamaein usii se raushan theen kabhi ujaala bahut tha kisi gali ki taraf kahii ki bhook ho har khet us ka apna hai kahii ki pyaas ho jaayegi vo na dii ki taraf na nikle KHair se allaama qaul se baahar yagaana toot ga.e jab chale khu dii ki taraf
Nida Fazli
0 likes
raakshas tha na KHuda tha pahle aadmi kitna badaa tha pahle aasmaañ khet samundar sab laal KHoon kaaghaz pe ugaa tha pahle main vo maqtool jo qaateel na banaa haath meraa bhi utha tha pahle ab kisi se bhi shikaayat na rahi jaane kis kis se gilaa tha pahle shahar to baa'd men veeraan hua meraa ghar KHaak hua tha pahle
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







