ghazalKuch Alfaaz

viran sarae ka diya hai jo kaun-o-makan men jal raha hai ye kaisi bichhadne ki saza hai aine men chehra rakh gaya hai khurshid misal shakhs kal shaam mitti ke supurd kar diya hai tum mar gae hausla tumhara zinda huun ye mera hausla hai andar bhi zamin ke raushni ho mitti men charaghh rakh diya hai main kaun sa khvab dekhta huun ye kaun se mulk ki faza hai vo kaun sa haath hai ki jis ne mujh aag ko khaak se likha hai rakkha tha khala men paanv main ne raste men sitara aa gaya hai shayad ki khuda men aur mujh men ik jast ka aur fasla hai gardish men hain kitni kaenaten bachcha mira paanv chal raha hai viran sarae ka diya hai jo kaun-o-makan mein jal raha hai ye kaisi bichhadne ki saza hai aaine mein chehra rakh gaya hai khurshid misal shakhs kal sham mitti ke supurd kar diya hai tum mar gae hausla tumhaara zinda hun ye mera hausla hai andar bhi zamin ke raushni ho mitti mein charagh rakh diya hai main kaun sa khwab dekhta hun ye kaun se mulk ki faza hai wo kaun sa hath hai ki jis ne mujh aag ko khak se likha hai rakkha tha khala mein panw main ne raste mein sitara aa gaya hai shayad ki khuda mein aur mujh mein ek jast ka aur fasla hai gardish mein hain kitni kaenaten bachcha mera panw chal raha hai

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Obaidullah Aleem

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte

Obaidullah Aleem

1 likes

shikasta-haal sa be-aasra sa lagta hai ye shahar dil se ziyaada dukha sa lagta hai har ik ke saath koi vaqiaa' sa lagta hai jise bhi dekho vo khoya hua sa lagta hai zameen hai so vo apni gardishon men kahii jo chaand hai so vo toota hua sa lagta hai mere watan pe utarte hue andheron ko jo tum kaho mujhe qahr-e-khuda sa lagta hai jo shaam aayi to phir shaam ka laga darbaar jo din hua to vo din karbala sa lagta hai ye raat kha gaii ik ek kar ke saare charaaghh jo rah gaya hai vo bujhta hua sa lagta hai dua karo ki main us ke li.e dua ho jaaun vo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai to dil men bujhne si lagti hai kaayenaat tamaam k abhii k abhii jo mujhe tu bujha sa lagta hai jo aa rahi hai sadaa ghaur se suno us ko ki is sadaa men KHuda bolta sa lagta hai abhii khareed len duniya kahaan ki mahangi hai magar zameer ka sauda bura sa lagta hai ye maut hai ya koi aakhiri visaal ke baa'd ajab sukoon men soya hua sa lagta hai hawaa-e-rang-e-do-aalam men jaagti hui lay aleem hi kahii naghma-saraa sa lagta hai

Obaidullah Aleem

0 likes

jo us ne kiya use sila de maula mujhe sabr ki jazaa de ya mere diye ki lau badha de ya raat ko subh se mila de sach hooñ to mujhe amar banaa de jhoota hooñ to naqsh sab mita de ye qaum ajeeb ho gaii hai is qaum ko khoo-e-ambiya de utarega na koi aasmaañ se ik aas men dil magar sadaa de bacchon ki tarah ye lafz mere maabood inhen bolna sikha de dukh dehr ke apne naam likkhoon har dukh mujhe zaat ka mazaa de ik miraa vujood sun raha hai ilhaam jo raat ki hawa de mujh se miraa koi milne vaala bichhda to nahin magar mila de chehra mujhe apna dekhne ko ab dast-e-hawas men aaina de jis shaKHs ne umr-e-hijr kaateeus shaKHs ko ek raat kya de dukhta hai badan ki phir mile vo mil jaa.e to rooh ko dikha de kya cheez hai khwahish-e-badan bhi har baar naya hi zaaika de choone men ye dar ki mar na jaaun choo luun to vo zindagi siva de

Obaidullah Aleem

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.