vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khuda us ko nazar na aae to us ki talash men rahna kahin mile to palat kar na dekhna us ko vo sada-khu tha zamane ke kham samajhta kya hava ke saath chala le udi hava us ko vo apne baare men kitna hai khush-guman dekho jab us ko main bhi na dekhun to dekhna us ko abhi se jaana bhi kya us ki kam-khayali par abhi to aur bahut hoga sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe miri du'a ki khuda de ye hausla us ko panah dhund rahi hai shab-e-girafta-dilan koi batao mire ghar ka rasta us ko ghhazal men tazkira us ka na kar 'nasir' ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhuul ja us ko wo be-wafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khuda us ko nazar na aae to us ki talash mein rahna kahin mile to palat kar na dekhna us ko wo sada-khu tha zamane ke kham samajhta kya hawa ke sath chala le udi hawa us ko wo apne bare mein kitna hai khush-guman dekho jab us ko main bhi na dekhun to dekhna us ko abhi se jaana bhi kya us ki kam-khayali par abhi to aur bahut hoga sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udas rakhe meri du'a ki khuda de ye hausla us ko panah dhund rahi hai shab-e-girafta-dilan koi batao mere ghar ka rasta us ko ghazal mein tazkira us ka na kar 'nasir' ki ab bhula chuka wo tujhe tu bhi bhul ja us ko
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Naseer Turabi
vo hum-safar tha magar us se ham-navaai na thii ki dhoop chaanv ka aalam raha judaai na thii na apna ranj na auron ka dukh na teraa malaal shab-e-firaq k abhii ham ne yuñ ganwaai na thii mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musaafir shikasta-paai na thii adaavaten theen taghaaful tha ranjishen theen bahut bichhadne waale men sab kuchh tha be-vafaaii na thii bichhadte vaqt un aankhoñ men thii hamaari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhii sunaai na thii kise pukaar raha tha vo doobta hua din sadaa to aayi thii lekin koi duhaai na thii k abhii ye haal ki dono men yak-dili thii bahut k abhii ye marhala jaise ki aashnaai na thii ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh naseer vahaañ bhi aa ga.e aaKHir jahaan rasai na thii
Naseer Turabi
18 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Naseer Turabi.
Similar Moods
More moods that pair well with Naseer Turabi's ghazal.







