vo ham ko dil men rakkhega ya dil se ab nikalega uthega jab talak parda tajassus maar dalega main aksar janchne ko ye bas apna haq jatata huun kahan tak baat manega kahan par ham ko talega ta'ayyun kab hai mumkin ab ta'alluq ka ravayyon se use ham par yaqin hai zakhm sab chup-chap kha lega mohabbat ki dagar par jo bhi nikle soch kar nikle safar ye vo nahin jo laziman manzil bhi pa lega kabhi socha gaya jo thak ke dil ki vaguzari ka saval uttha yahi masrufiyat kya aur palega chalan ahl-e-vafa ka hai atal khamoshiyan 'abrak' zamana dekhta hai sab vo khud qissa uchhalega wo hum ko dil mein rakkhega ya dil se ab nikalega uthega jab talak parda tajassus mar dalega main aksar jaanchne ko ye bas apna haq jatata hun kahan tak baat manega kahan par hum ko talega ta'ayyun kab hai mumkin ab ta'alluq ka rawayyon se use hum par yaqin hai zakhm sab chup-chap kha lega mohabbat ki dagar par jo bhi nikle soch kar nikle safar ye wo nahin jo laziman manzil bhi pa lega kabhi socha gaya jo thak ke dil ki waguzari ka sawal uttha yahi masrufiyat kya aur palega chalan ahl-e-wafa ka hai atal khamoshiyan 'abrak' zamana dekhta hai sab wo khud qissa uchhaalega
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







