ghazalKuch Alfaaz

vo ham-safar tha magar us se ham-navai na thi ki dhuup chhanv ka aalam raha judai na thi na apna ranj na auron ka dukh na tera malal shab-e-firaq kabhi ham ne yuun ganvai na thi mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musafir shikasta-pai na thi adavaten thin, taghhaful thaa, ranjishen thiin bahut bichhadne vaale men sab kuchh thaa, bevafai na thi bichhadte vaqt un ankhon men thi hamari ghhazal ghhazal bhi vo jo kisi ko abhi sunai na thi kise pukar raha tha vo dubta hua din sada to aai thi lekin koi duhai na thi kabhi ye haal ki donon men yak-dili thi bahut kabhi ye marhala jaise ki ashnai na thi ajiib hoti hai rah-e-sukhan bhi dekh 'nasir' vahan bhi aa gae akhir, jahan rasai na thi wo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi ki dhup chhanw ka aalam raha judai na thi na apna ranj na auron ka dukh na tera malal shab-e-firaq kabhi hum ne yun ganwai na thi mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musafir shikasta-pai na thi adawaten thin, taghaful tha, ranjishen thin bahut bichhadne wale mein sab kuchh tha, bewafai na thi bichhadte waqt un aankhon mein thi hamari ghazal ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunai na thi kise pukar raha tha wo dubta hua din sada to aai thi lekin koi duhai na thi kabhi ye haal ki donon mein yak-dili thi bahut kabhi ye marhala jaise ki aashnai na thi ajib hoti hai rah-e-sukhan bhi dekh 'nasir' wahan bhi aa gae aakhir, jahan rasai na thi

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

is tarah se na aajmao mujhe uski tasveer mat dikhaao mujhe ain mumkin hai main palat aaun uski aawaaz men bulao mujhe maine bola tha yaad mat aanaa jhooth bola tha yaad aao mujhe

Ali Zaryoun

64 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Naseer Turabi

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Naseer Turabi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Naseer Turabi's ghazal.