ghazalKuch Alfaaz

vo jo likha hai sab kitaabon men vo hi shaamil nahin nisaabon men uski taaseer aise kaatee hai hamne gholaa use sharaabon men ye meri hichakiyaañ bataati hain main baqaaya hooñ kuchh hisaabon men to koi tajruba hi kar len kya kuchh nahin mil raha kitaabon men ham use yoon hi mil ga.e hote usne dhoondha nahin kharaabon men aao aur aa ke phir bichhad jaao kuchh izaafa karo azaabon men

Vishal Bagh11 Likes

Related Ghazal

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega

Tehzeeb Hafi

174 likes

More from Vishal Bagh

KHabar sunkar vo ye itra raha hai mujhe uskaa bichhoda kha raha hai mere sayyaad ko koi bula do mere pinjare ko toda ja raha hai nikalna hai ha men kab se safar par magar ye jism aade aa raha hai main us..ko yaad bhi karna na chaahoon vo aakar khwaab men uksaa raha hai chalo us..ko aziyat se nikaalen suna hai ab bhi vo pachta raha hai

Vishal Bagh

10 likes

sunne men aaya hai meraa charcha nain tha mujh...ko jitna lagta tha main utna nain tha us..ko achchhe lagte the sab chhail chhabele ham jaison ko usse koi khatra nain tha saada dil the so ham apne hi dushman the vo bhi achha lagta tha jo achha nain tha maik saajan ki sab besharmi dekhi sab kuchh socha karta tha vo kahtaa nain tha achchhii soorat kitnii achchhii ho sakti thii lekin tab tak maine us..ko dekha nain tha

Vishal Bagh

12 likes

jee humi hain muhabbat ke maare hue dil ke toote hue jaan se haare hue jin se barson ki pahchaan thii chhut gaii ajnabi aaj se ham tumhaare hue is zameen ko bhi ham raas aa.e nahin ham vahii hain falak se utaare hue ek din aayi duniya li.e apne gham ham bhi baithe the daaman pasaare hue dil jo toote nahin KHaak men mil ga.e dil jo toote falak ke sitaare hue dosh saara hamaare junoon ko na do unki jaanib se bhi kuchh ishaare hue ik nazar ke taqaze pe sab ne kaha ham tumhaare hue ham tumhaare hue

Vishal Bagh

18 likes

shaam dhale main ghar raushan bhi karta tha kitna kuchh to main beman bhi karta tha duniya mujhse sirf mohabbat karti hai vo deewaana paagalpan bhi karta tha tum jo kahte the na ik din choo loge choo lete na meraa man bhi karta tha mere sirhaane vo ghunghroo gumsum hai uske pairo'n men chhanchhan bhi karta tha uske haathon men bas ham hi janchte the daava sone ka kangan bhi karta tha

Vishal Bagh

24 likes

mere jiya ki mere piya ko tumheen sunaao nigodi ankhion ye chup ka patthar pada hai dil par ise hatao nigodi ankhion barasti jaao barasti jaao barasti jaao barasti jaao ki dil se sab kuchh baha ke uski jagah banaao nigodi ankhion usii ko dekho usii ko dekho usii ko dekho usii ko dekho ki dekhne ka hai kaam tum ko so kaam aao nigodi ankhion muaan ye darpan muaan ye darpan muaan ye darpan muaan ye darpan mujhe isee ki nazar lagii hai ise hatao nigodi ankhion vo uth gaya hai vo chal diya hai vo ja raha hai chala na jaa.e use manao use manao use manao nigodi ankhion

Vishal Bagh

10 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Vishal Bagh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Vishal Bagh's ghazal.