ghazalKuch Alfaaz

vo kahan jalva-e-jan-bakhsh butan-e-dehli kyuun ki jannat pe kiya jaae guman-e-dehli in ka be-vajh nahin tuut ke hona barbad dhunde hai apne makinon ko makan-e-dehli jis ke jhonke se saba tabla-e-attar bane hai vo bad-e-sahar-e-itr-fishan-e-dehli mehr zar khaak ko karta hai ye sach hai lekin is se kuchh badh ke hain sahab-nazaran-e-dehli aina-saz sikandar hai tu jam jam-farosh vusat-abad hai kis darja jahan-e-dehli kar ke barbad use kis ko basaega falak kya koi aur bhi hai shahr basan-e-dehli is liye khuld men jaane ka har ik talib hai ki kuchh ik duur se padta hai guman-e-dehli vo sitam dekh chuke the ki rahe asuda fitna-o-hashr men afat-zadagan-e-dehli samjhe hain su-e-adab jannat-e-sani kahna vo kuchh ashkhas jo hain martaba-dan-e-dehli saili-e-panja-e-jallad-e-sitam se hai hai nazr-e-be-dad hue muntakhaban-e-dehli ya-khuda hazrat-e-ghhalib ko salamat rakhna ab isi naam se baaqi hai nishan-e-dehli karbat-e-ghhurbat-o-tanhai-o-shab-ha-e-daraz aur 'majruh'-e-dil-afgar bayan-e-dehli wo kahan jalwa-e-jaan-bakhsh butan-e-dehli kyun ki jannat pe kiya jae guman-e-dehli in ka be-wajh nahin tut ke hona barbaad dhunde hai apne makinon ko makan-e-dehli jis ke jhonke se saba tabla-e-attar bane hai wo baad-e-sahar-e-itr-fishan-e-dehli mehr zar khak ko karta hai ye sach hai lekin is se kuchh badh ke hain sahab-nazaran-e-dehli aaina-saz sikandar hai tu jam jam-farosh wusat-abaad hai kis darja jahan-e-dehli kar ke barbaad use kis ko basaega falak kya koi aur bhi hai shahr basan-e-dehli is liye khuld mein jaane ka har ek talib hai ki kuchh ek dur se padta hai guman-e-dehli wo sitam dekh chuke the ki rahe aasuda fitna-o-hashr mein aafat-zadagan-e-dehli samjhe hain su-e-adab jannat-e-sani kahna wo kuchh ashkhas jo hain martaba-dan-e-dehli saili-e-panja-e-jallad-e-sitam se hai hai nazr-e-be-dad hue muntakhaban-e-dehli ya-khuda hazrat-e-ghaalib ko salamat rakhna ab isi nam se baqi hai nishan-e-dehli karbat-e-ghurbat-o-tanhai-o-shab-ha-e-daraaz aur 'majruh'-e-dil-afgar bayan-e-dehli

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

thehraav to us men tha hi nahin rukti thii nikal liya karti thii main kapde badalte sochta tha vo mard badal liya karti thii mujhe apne banaaye raaston par bhi joote pahanna padte the vo logon ke seene par bhi joote utaar kar chal liya karti thii mere haath zaboob ho jaate the mere chash men syaah ho jaate the main us..ko naqaab ka kahtaa tha vo kaalikh mal liya karti thii us aurat ne bezaar kiya ik baar nahin sau baar kiya gaanon pe uchhal nahin paati thii baaton pe uchhal liya karti thii tareeq mahal ko shaahzaa dii ne raushan rakha kaneezon se kabhi unko jala liya karti thii kabhi unse jal liya karti thii aadaab-e-tijaarat se bhi na-waaqif thii sher-o-adab ki tarah mujhe waisa pyaar nahin deti thii jaisi ghazal liya karti thii

Muzdum Khan

30 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai

Ali Zaryoun

48 likes

kisi ko banaane men qismat to hai hi magar apne haathon men mehnat to hai hi ye mumkin hai tujhko hunar dekh chun len wagarana to phir khoobsurat to hai hi nikal jaa.e baahar hi gussa to achha ki phir aap ke ghar men aurat to hai hi sabhi ladkiyaan chip gaii shaam dhalti kaho kuchh bhi mardon ki dahshat to hai hi

Kushal Dauneria

32 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Mehdi Majrooh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Mehdi Majrooh's ghazal.