ghazalKuch Alfaaz

vo phuul tha jadu-nagri men jis phuul ki khushbu bhaai thi use laana jaan ganvana tha aur apni jaan parai thi vo raat ka tul-tavil safar kya kahiye kaise aai sahar kuchh main ne qissa chheda tha kuchh us ne aas bandhai thi khvabon se udhar ki masafat men jo guzri hai kya puchhte ho ik vahshat char-pahar ki thi ik jalti hui tanhai thi vo raat ki jis ke kinaron par ham milte aur bichhadte the ik baar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi har shaam ufuq ki duuri par koi sahma sahma phirta tha tasvir jo us ki banai to khud apni shakl banai thi wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki khushbu bhai thi use lana jaan ganwana tha aur apni jaan parai thi wo raat ka tul-tawil safar kya kahiye kaise aai sahar kuchh main ne qissa chheda tha kuchh us ne aas bandhai thi khwabon se udhar ki masafat mein jo guzri hai kya puchhte ho ek wahshat chaar-pahar ki thi ek jalti hui tanhai thi wo raat ki jis ke kinaron par hum milte aur bichhadte the ek bar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi har sham ufuq ki duri par koi sahma sahma phirta tha taswir jo us ki banai to khud apni shakl banai thi

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sabir Waseem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sabir Waseem's ghazal.