vo siva yaad aae bhulane ke baad zindagi badh gai zahr khane ke baad dil sulagta raha ashiyane ke baad aag thandi hui ik zamane ke baad raushni ke liye dil jalana pada aisi zulmat badhi tere jaane ke baad jab na kuchh ban pada arz-e-ghham ka javab vo khafa ho gae muskurane ke baad dushmanon se pasheman hona pada doston ka khulus azmane ke baad ranj had se guzar ke khushi ban gaya ho gae paar ham duub jaane ke baad bakhsh de ya rab ahl-e-havas ko bahisht mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad kaise kaise gile yaad aae 'khumar' un ke aane se qabl un ke jaane ke baad wo siwa yaad aae bhulane ke baad zindagi badh gai zahr khane ke baad dil sulagta raha aashiyane ke baad aag thandi hui ek zamane ke baad raushni ke liye dil jalana pada aisi zulmat badhi tere jaane ke baad jab na kuchh ban pada arz-e-gham ka jawab wo khafa ho gae muskurane ke baad dushmanon se pasheman hona pada doston ka khulus aazmane ke baad ranj had se guzar ke khushi ban gaya ho gae par hum dub jaane ke baad bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht mujh ko kya chahiye tujh ko pane ke baad kaise kaise gile yaad aae 'khumar' un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
Related Ghazal
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
is tarah se na aajmao mujhe uski tasveer mat dikhaao mujhe ain mumkin hai main palat aaun uski aawaaz men bulao mujhe maine bola tha yaad mat aanaa jhooth bola tha yaad aao mujhe
Ali Zaryoun
64 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Khumar Barabankavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Khumar Barabankavi's ghazal.







