ghazalKuch Alfaaz

wahin ladki jo gori thii wahin kaali nikalti hai agar saazish ke peeche aapki waali nikalti hai kabhi sasuraal jaakar ke manaakar dekhiye holi kabhi sarhaj nikalti hai kabhi saali nikalti hai mohalle ki sabhi bhaujaiyo ka rang devar par utarta hai to barbas hont se gaali nikalti hai karen kya ham kaho jaanaan kahii tikuli kahii paayal kahii takie ke neeche kaan ki baali nikalti hai jahaan sab log paagal hain karen sab qaid mut thii men sabhi ki ant men mut thii wahin khaali nikalti hai

Atul K Rai3 Likes

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Atul K Rai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Atul K Rai's ghazal.