yaad aata hai mujhe ret ka ghar barish men men akeli thi sar-e-rahguzar barish men vo ajab shakhs tha har haal men khush rahta tha us ne ta-umr kiya hans ke safar barish men tum ne puchha bhi to kis mod pe aa kar puchha kaise ujda tha chahakta hua ghar barish men ik diya jalta hai kitni bhi chale tez hava tuut jaate hain kai ek shajar barish men ankhen bojhal hain tabiat bhi hai kuchh afsurda kaisi alsai si lagti hai sahar barish men yaad aata hai mujhe ret ka ghar barish mein mein akeli thi sar-e-rahguzar barish mein wo ajab shakhs tha har haal mein khush rahta tha us ne ta-umr kiya hans ke safar barish mein tum ne puchha bhi to kis mod pe aa kar puchha kaise ujda tha chahakta hua ghar barish mein ek diya jalta hai kitni bhi chale tez hawa tut jate hain kai ek shajar barish mein aankhen bojhal hain tabiat bhi hai kuchh afsurda kaisi alsai si lagti hai sahar barish mein
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sahiba Sheheryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Sahiba Sheheryar's ghazal.







