ghazalKuch Alfaaz

yaron ne apne apne gharon ko basa liya ik tum ki apni zaat ko zindan bana liya gumrah to hue the magar khud ko pa liya apne hi aaine se tumhara pata liya in na-tavaniyon pe bhi the itne khud-nigar ye zindagi ka koh-e-giran bhi utha liya ankhon se motiyon ka hai tanta bandha hua duube hain is tarah ki samundar chura liya bas ik shu'ur-e-rah-navardi tha as-pas kya kya na raston men luteron ne aa liya duube hain ham to biich bhanvar men magar bata sahil pe ja ke tu ne bhi kya na-khuda liya khud bhi to imtihan-e-vafa se guzar ke dekh tu ne to laakh baar hamen aazma liya is daur-e-be-hunar men hain donon girafta-dil kya de sake hain ham bhi tumhen aur kya liya ham ne to chahaton ke khazane luta diye duniya ne pattharon ko gale se laga liya me’yar-e-dosti hai ki bazar-e-dosti sauda mohabbaton ka kiya rasta liya aage nikal gae the bahut ham-safar 'jamil' ham ne bhi manzilon pe magar un ko ja liya yaron ne apne apne gharon ko basa liya ek tum ki apni zat ko zindan bana liya gumrah to hue the magar khud ko pa liya apne hi aaine se tumhaara pata liya in na-tawaniyon pe bhi the itne khud-nigar ye zindagi ka koh-e-giran bhi utha liya aankhon se motiyon ka hai tanta bandha hua dube hain is tarah ki samundar chura liya bas ek shu'ur-e-rah-nawardi tha aas-pas kya kya na raston mein luteron ne aa liya dube hain hum to bich bhanwar mein magar bata sahil pe ja ke tu ne bhi kya na-khuda liya khud bhi to imtihan-e-wafa se guzar ke dekh tu ne to lakh bar hamein aazma liya is daur-e-be-hunar mein hain donon girafta-dil kya de sake hain hum bhi tumhein aur kya liya hum ne to chahaton ke khazane luta diye duniya ne pattharon ko gale se laga liya me’yar-e-dosti hai ki bazar-e-dosti sauda mohabbaton ka kiya rasta liya aage nikal gae the bahut ham-safar 'jamil' hum ne bhi manzilon pe magar un ko ja liya

Related Ghazal

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara

Kushal Dauneria

67 likes

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jameel Malik.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jameel Malik's ghazal.