ghazalKuch Alfaaz

yaqeen chaand pe suraj men e'tibaar bhi rakh magar nigaah men thoda sa intizaar bhi rakh KHuda ke haath men mat saunp saare kaamon ko badalte vaqt pe kuchh apna ikhtiyaar bhi rakh ye hi lahu hai shahaadat ye hi lahu paani khizaan naseeb sahi zehan men bahaar bhi rakh gharo ke taqon men gul-daste yuñ nahin sajte jahaan hain phool wahin aas-paas khaar bhi rakh pahaad goonjein nadi gaaye ye zaroori hai safar kahii ka ho dil men kisi ka pyaar bhi rakh

Nida Fazli1 Likes

Related Ghazal

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Nida Fazli

raakshas tha na KHuda tha pahle aadmi kitna badaa tha pahle aasmaañ khet samundar sab laal KHoon kaaghaz pe ugaa tha pahle main vo maqtool jo qaateel na banaa haath meraa bhi utha tha pahle ab kisi se bhi shikaayat na rahi jaane kis kis se gilaa tha pahle shahar to baa'd men veeraan hua meraa ghar KHaak hua tha pahle

Nida Fazli

2 likes

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

har ik rastaa andheron men ghira hai mohabbat ik zaroori haadisa hai garjati aandhiyaan zaaeaa hui hain zameen pe toot ke aañsu giraa hai nikal aa.e kidhar manzil ki dhun men yahaañ to raasta hi raasta hai dua ke haath patthar ho ga.e hain KHuda har zehan men toota pada hai tumhaara tajurba shaayad alag ho mujhe to ilm ne bhatka diya hai

Nida Fazli

2 likes

kuchh dinon to shahar saara ajnabi sa ho gaya phir hua yuñ vo kisi ki main kisi ka ho gaya ishq kar ke dekhiye apna to ye hai tajurba ghar mohalla shahar sab pahle se achha ho gaya qabr men haq-goi baahar manqabat qawwaliyaan aadmi ka aadmi hona tamasha ho gaya vo hi moorat vo hi soorat vo hi qudrat ki tarahus ko jis ne jaisa socha vo bhi waisa ho gaya

Nida Fazli

3 likes

insaan men haiwaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi allah nigahbaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi khoon-khwaar darindon ke faqat naam alag hain har shahar bayaabaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi hindu bhi sukoon se hai musalmaan bhi sukoon se insaan pareshaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi rehmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat har khel ka maidaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi uthata hai dil-o-jaan se dhuaan dono taraf hi ye meer ka deevaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.