ye ghham to hai so hai ki ghharib-ud-dayar huun lekin jahan-jahan huun main divana-var huun is ke siva ba-vaqt-e-du'a kuchh na kah saka main bhi to akhir ai mire parvardigar huun teri 'ata hai arzu-e-rozgar-e-ghham meri khata hai said-e-ghham-e-rozgar huun us ki talash hai to mujhe dekh lijiye main us ki azmaishon ka ishtihar huun zanjir huun to uljhi hui apne aap se main tiir huun to apne hi siine ke paar huun main khaar tha to apne hi andar gada hua azar tha to aaj talak barqarar huun khamoshi thi to ab bhi vahi hai mira mizaj ghham-koshi thi to ab bhi usi ka shikar huun ghham ke liye kuchh aur khushi ke liye kuchh aur ja-e-panah huun kahin rah-e-farar huun ya'ni 'uruj hi men nihan hai mira zaval pahle main dil-gudaz tha ab dil-figar huun tu kaun hai tu vajh hai mere vujud ki main kaun huun main arzuon ka mazar huun qaaem rahen vo jin ki badaulat hai ye madar daaim rahen vo jin ka main dar-o-madar huun ye gham to hai so hai ki gharib-ud-dayar hun lekin jahan-jahan hun main diwana-war hun is ke siwa ba-waqt-e-du'a kuchh na kah saka main bhi to aakhir ai mere parwardigar hun teri 'ata hai aarzu-e-rozgar-e-gham meri khata hai said-e-gham-e-rozgar hun us ki talash hai to mujhe dekh lijiye main us ki aazmaishon ka ishtihaar hun zanjir hun to uljhi hui apne aap se main tir hun to apne hi sine ke par hun main khar tha to apne hi andar gada hua aazar tha to aaj talak barqarar hun khamoshi thi to ab bhi wahi hai mera mizaj gham-koshi thi to ab bhi usi ka shikar hun gham ke liye kuchh aur khushi ke liye kuchh aur ja-e-panah hun kahin rah-e-farar hun ya'ni 'uruj hi mein nihan hai mera zawal pahle main dil-gudaz tha ab dil-figar hun tu kaun hai tu wajh hai mere wujud ki main kaun hun main aarzuon ka mazar hun qaem rahen wo jin ki badaulat hai ye madar daim rahen wo jin ka main dar-o-madar hun
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jawad Sheikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Jawad Sheikh's ghazal.







