ghazalKuch Alfaaz

ye jo ham kabhi kabhi sochte hain raat ko raat kya samajh sake in muaamlaat ko husn aur najaat men fasl-e-mashriqain hai kaun chahta nahin husn ko najaat ko ye sukoon-e-be-jihat ye kashish ajeeb hai tujh men band kar diya kis ne shash-jahaat ko saahil-e-khyaal par kahkashaan ki chhoot thii ek mauj le gaii in tajalliyaat ko aankh jab uthe bhar aa.e she'r ab kaha na jaa.e kaise bhool jaa.e vo bhoolne ki baat ko dekh ai mirii nigaah tu bhi hai jahaan bhi hai kis ne ba-khabar kiya doosre ki zaat ko kya ai mirii nigaah tu bhi hai jahaan bhi hai kis ne ba-khabar kaha doosre ki zaat ko kya hui rivaayatein ab hain kyun shikaayaten ishq-e-na-muraad se husn-e-be-sabaat ko ai bahaar-e-sar-giraan tu khizaan-naseeb hai aur ham taras ga.e tere iltifaat ko

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

vaise main ne duniya men kya dekha hai tum kahte ho to phir achha dekha hai main us ko apni vehshat tohfe men doon haath uthaaye jis ne sehra dekha hai bin dekhe us ki tasveer banaa loonga aaj to main ne us ko itnaa dekha hai ek nazar men manzar kab khulte hain dost tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai ishq men banda mar bhi saka hai main ne dil ki dastaavez men likha dekha hai main to aañkhen dekh ke hi batla dooñga tum men se kis kis ne dariyaa dekha hai aage seedhe haath pe ek taraai hai main ne pahle bhi ye rastaa dekha hai tum ko to is baagh ka naam pata hogaa tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai

Tehzeeb Hafi

80 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

More from Mahboob Khizan

palkon par hasrat ki ghataaein ham bhi paagal tum bhi jee na saken aur marte jaayen ham bhi paagal tum bhi dono apni aan ke sacche dono aql ke andhe haath badhaayein phir hat jaayen ham bhi paagal tum bhi KHvaab men jaise jaan chhuda kar bhag na sakne waale bhaagen aur wahin rah jaayen ham bhi paagal tum bhi sandal phoole jungle jaage naag fireen matwaale nange paanv chalen ghabraayein ham bhi paagal tum bhi

Mahboob Khizan

0 likes

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta kuchh aisi baat hai inkaar bhi karte nahin banta khuloos-e-naaz ki tauheen bhi dekhi nahin jaati shuur-e-husn ko bedaar bhi karte nahin banta tujhe ab kya kahein ai meherbaan apna hi rona hai ki saari zindagi eesaar bhi karte nahin banta sitam dekho ki us be-dard se apni ladai hai jise sharminda-e-paikaar bhi karte nahin banta ada ranjeedgi parwaanagi aansoo-bhari aañkhen ab itni saadgi kya pyaar bhi karte nahin banta jawaani meherbaani husn bhi achchhii museebat hai use achha use beemaar bhi karte nahin banta bhanwar se jee bhi ghabraata hai lekin kya kiya jaa.e tawaaf-e-mauj-e-kam-raftaar bhi karte nahin banta isee dil ko bharii duniya ke jhagde jhelne thehre yahii dil jis ko duniya-daar bhi karte nahin banta jalaati hai dilon ko sard-mehri bhi zamaane ki sawaal-e-garmi-e-baazaar bhi karte nahin banta khizaan un ki tavajjoh aisi naa-mumkin nahin lekin zaraa si baat par israar bhi karte nahin banta

Mahboob Khizan

0 likes

naaz-o-andaaz dil dikhaane lage ab vo fitne samajh men aane lage phir vahii intizaar ki zanjeer raat aayi diye jalane lage chaanv padne lagii sitaaron ki rooh ke zakham jhilmilaane lage haal ahvaal kya bataayen kise sab iraade ga.e thikaane lage manzil-e-subh aa gaii shaayad raaste har taraf ko jaane lage

Mahboob Khizan

0 likes

sambhaalne se tabeeyat kahaan sambhalti hai vo be-kasi hai ki duniya ragon men chalti hai ye sard-mehr ujaala ye jeeti-jaagti raat tire khayal se tasveer-e-maah jaltee hai vo chaal ho ki badan ho kamaan jaisi kashish qadam se ghaat ada se ada nikalti hai tumhein khayal nahin kis tarah bataayen tumhein ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai tumhaare shahar ka insaaf hai ajab insaaf idhar nigaah udhar zindagi badalti hai bikhar ga.e mujhe saanche men dhaalne waale yahaañ to zaat bhi saanche samet dhalti hai khizaan hai haasil-e-hangaama-e-bahaar khizaan bahaar phoolti hai kaayenaat phalti hai

Mahboob Khizan

0 likes

haal aisa nahin ki tum se kahein ek jhagda nahin ki tum se kahein zer-e-lab aah bhi muhaal hui dard itnaa nahin ki tum se kahein tum zulekha nahin ki ham se kaho ham maseeha nahin ki tum se kahein sab samjhte hain aur sab chup hain koi kahtaa nahin ki tum se kahein kis se poochen ki vasl men kya hai hijr men kya nahin ki tum se kahein ab khizaan ye bhi kah nahin sakte tum ne poocha nahin ki tum se kahein

Mahboob Khizan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mahboob Khizan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mahboob Khizan's ghazal.