ye kya hai mohabbat men to aisa nahin hota main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota is mod se aage bhi koi mod hai varna yuun mere liye tu kabhi thahra nahin hota kyuun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi kyuun raat ke dhalne pe savera nahin hota ya itni na tabdil hui hoti ye duniya ya main ne ise khvab men dekha nahin hota sunte hain sabhi ghhaur se avaz-e-jaras ko manzil ki taraf koi ravana nahin hota dil tark-e-taalluq pe bhi amada nahin hai aur haq bhi ada is se vafa ka nahin hota ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota is mod se aage bhi koi mod hai warna yun mere liye tu kabhi thahra nahin hota kyun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi kyun raat ke dhalne pe sawera nahin hota ya itni na tabdil hui hoti ye duniya ya main ne ise khwab mein dekha nahin hota sunte hain sabhi ghaur se aawaz-e-jaras ko manzil ki taraf koi rawana nahin hota dil tark-e-talluq pe bhi aamada nahin hai aur haq bhi ada is se wafa ka nahin hota
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Shahryar
tere vaade ko kabhi jhooth nahin samjhoonga aaj ki raat bhi darwaaza khula rakkhoonga dekhne ke li.e ik chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoonga meri tanhaaii ki ruswaai ki manzil aayi vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloonga shaam hote hi khulii sadkon ki yaad aati hai sochta roz hooñ main ghar se nahin nikloonga ta-ki mahfooz rahe mere qalam ki hurmat sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhoonga
Shahryar
6 likes
dil cheez kya hai aap mirii jaan leejie bas ek baar meraa kaha maan leejie is anjuman men aap ko aanaa hai baar baar deewar-o-dar ko ghaur se pahchaan leejie m aanaa ki doston ko nahin dosti ka paas lekin ye kya ki gair ka ehsaan leejie kahiye to aasmaañ ko zameen par utaar laayein mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan leejie
Shahryar
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's ghazal.







