ghazalKuch Alfaaz

main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho

Shakeel Azmi51 Likes

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Shakeel Azmi

ajeeb manzar hai baarishon ka makaan paani men bah raha hai falak zameen ki hudoos men hai nishaan paani men bah raha hai tamaam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaki kisaan girvi rakha hua hai lagaan paani men bah raha hai azaab utara to paanv sab ke zameen ki satahon se aa lage hain hawa ke ghar men nahin hai koi machaan paani men bah raha hai koi kisi ko nahin bachaata sab apni khaatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahaan paani men bah raha hai udaas aankhoñ ke baadlon ne dilon ke gard-o-ghubaar dhoye yaqeen patthar banaa khada hai gumaan paani men bah raha

Shakeel Azmi

4 likes

akelaa rahne ki KHud hi saza qubool ki hai ye ham ne ishq kiya hai ya koi bhool ki hai khayal aaya hai ab raasta badal lenge abhii talak to bahut zindagi fuzool ki hai KHuda kare ki ye pauda zameen ka ho jaa.e ki aarzoo mire aangan ko ek phool ki hai na jaane kaun sa lamha mire qaraar ka haina jaane kaun si sa'at tire husool ki hai na jaane kaun sa chehra mirii kitaab ka haina jaane kaun si soorat tire nuzool ki hai jinhen khayal ho aankhoñ ka laut jaayen vo ab is ke baa'd hukoomat safar men dhool ki hai ye shohraten ha men yoonhi nahin mili hain shakeel ghazal ne ham se bhi bahut vasool ki hai

Shakeel Azmi

18 likes

mujh pe hain saikron ilzaam mire saath na chal tu bhi ho jaayega badnaam mire saath na chal tu nayi subah ke suraj ki hai ujli si kiran main hooñ ik dhool bharii shaam mire saath na chal apni khushiyaan mire aalaam se mansoob na kar mujh se mat maang mira naam mire saath na chal tu bhi kho jaayegi tapke hue aañsu ki tarah dekh ai gardish-e-ayyaam mire saath na chal meri deewaar ko tu kitna sambhaalega shakeel tootaa rehta hooñ har gaam mire saath na chal

Shakeel Azmi

26 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shakeel Azmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shakeel Azmi's ghazal.