ghazalKuch Alfaaz

akelaa rahne ki KHud hi saza qubool ki hai ye ham ne ishq kiya hai ya koi bhool ki hai khayal aaya hai ab raasta badal lenge abhii talak to bahut zindagi fuzool ki hai KHuda kare ki ye pauda zameen ka ho jaa.e ki aarzoo mire aangan ko ek phool ki hai na jaane kaun sa lamha mire qaraar ka haina jaane kaun si sa'at tire husool ki hai na jaane kaun sa chehra mirii kitaab ka haina jaane kaun si soorat tire nuzool ki hai jinhen khayal ho aankhoñ ka laut jaayen vo ab is ke baa'd hukoomat safar men dhool ki hai ye shohraten ha men yoonhi nahin mili hain shakeel ghazal ne ham se bhi bahut vasool ki hai

Shakeel Azmi18 Likes

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shakeel Azmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shakeel Azmi's ghazal.