ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar KHaraab kar diya ha men to usne jaise khaas kar KHaraab kar diya main dil pe haath rakh ke tujhko shahar bhej doon magar tujhe bhi un hawaon ne agar KHaraab kar diya kisi ne naam likh ke aur kisi ne peeng daal ke mohabbaton ki aad men shajar KHaraab kar diya tumhein hi dekhne men mahav hai vo kaam chhodkar tumhaari car ne to kaarigar KHaraab kar diya main qafile ke saath hooñ magar mujhe ye khauf hai agar kisi ne meraa hamsafar KHaraab kar diya teri nazar ke maqde tamaam shab khule rahe teri sharaab ne meraa jigar KHaraab kar diya
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
105 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
More from Tehzeeb Hafi
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
ajeeb KHvaab tha us ke badan men kaai thii vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thii vo ik charagh-kada jis men kuchh nahin tha meraa vo jal rahi thii vo qindeel bhi paraai thii na jaane kitne parindon ne is men shirkat ki kal ek ped ki taraqeeb-e-ro-numaai thii hawaon aao mire gaav ki taraf dekho jahaan ye ret hai pahle yahaañ taraai thii kisi sipaah ne khe men laga diye hain vahaañ jahaan ye main ne nishaani tiri dabaai thii gale mila tha kabhi dukh bhare december se mire vujood ke andar bhi dhund chhaai thii
Tehzeeb Hafi
15 likes
ik haveli hooñ us ka dar bhi hooñ KHud hi aangan KHud hi shajar bhi hooñ apni masti men bahta dariyaa hooñ main kinaara bhi hooñ bhanwar bhi hooñ aasmaañ aur zameen ki wus'at dekh main idhar bhi hooñ aur udhar bhi hooñ KHud hi main KHud ko likh raha hooñ khat aur main apna nama-bar bhi hooñ dastaan hooñ main ik taveel magar tu jo sun le to mukhtasar bhi hooñ ek faldar ped hooñ lekin vaqt aane pe be-samar bhi hooñ
Tehzeeb Hafi
19 likes
kitnii raatein kaat chuka hooñ par vo vasl ka din is dariyaa se pahle kitne jungle aate hain ha men to neend bhi aati hai to aadhi aati hai vo kaise hain jinko KHvaab mukammal aate hain is raaste par ped bhi aate hain usne poocha jal kar KHushboo dene waale sandal aate hain kaun hai jo is dil men khaamoshi se utarega dekho is awaaz pe kitne paagal aate hain ik se bharr kar ek sawaari asp-o-feel bhi hai jaane kyuuñ ham teri zaanib paidal aate hain
Tehzeeb Hafi
48 likes
ye ek baat samajhne men raat ho gaii hai main us se jeet gaya hooñ ki maat ho gaii hai main ab ke saal parindon ka din manaaunga mirii qareeb ke jungle se baat ho gaii hai bichhad ke tujh se na KHush rah sakunga socha tha tiri judaai hi vajh-e-nashaat ho gaii hai badan men ek taraf din julu' main ne kiya badan ke doosre hisse men raat ho gaii hai main junglon ki taraf chal pada hooñ chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udaasi bhi saath ho gaii hai rahega yaad madine se waapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki naat ho gaii hai
Tehzeeb Hafi
30 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







