yuñ mire hone ko mujh par aashkaar us ne kiya mujh men poshida kisi dariyaa ko paar us ne kiya pahle sehra se mujhe laaya samundar ki taraf naav par kaaghaz ki phir mujh ko sawaar us ne kiya main tha ik awaaz mujh ko KHaamushi se tod kar kirchiyon ko der tak mirii shumaar us ne kiya din chadha to dhoop ki mujh ko saleeben de gaya raat aayi to mire bistar ko daar us ne kiya jis ko us ne raushni samjha tha mirii dhoop thii shaam hone ka mirii phir intizaar us ne kiya der tak bunta raha aankhoñ ke karghe par mujhe bun gaya jab main to mujh ko taar taar us ne kiya
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Ameer Imam
un ko khala men koi nazar aanaa chahiye aankhoñ ko toote KHvaab ka harj aanaa chahiye vo kaam rah ke karna pada shahar men ha men majnoon ko jis ke vaaste veer aanaa chahiye is zakhm-e-dil pe aaj bhi surkhi ko dekh kar itra rahe hain ham ha men itrana chahiye tanhaaiyon pe apni nazar kar zaraa kabhi ai bewaqoof dil tujhe ghabr aanaa chahiye hai hijr to kebab na khaane se kya usool gar ishq hai to kya ha men mar j aanaa chahiye danaaiyan bhi khoob hain lekin agar mile dhokha haseen sa to use kh aanaa chahiye beete dinon ki koi nishaani to saath ho jaan-e-haya tumhein zaraa sharm aanaa chahiye is shaay'ri men kuchh nahin naqqaad ke li.e dildaar chahiye koi deew aanaa chahiye
Ameer Imam
6 likes
ki jaise koi musaafir watan men laut aa.e hui jo shaam to phir se thakan men laut aa.e na aabshaar na sehra laga sake qeemat ham apni pyaas ko le kar dehan men laut aa.e safar taveel bahut tha kisi ki aankhoñ tak to us ke baad ham apne badan men laut aa.e kabhi ga.e the hawaon ka saamna karne sabhi charaaghh usii anjuman men laut aa.e kisi tarah to fazaaon ki KHaamushi toote to phir se shor-e-salaasil chalan men laut aa.e ameer imaam batao ye maajra kya hai tumhaare she'r usii baankpan men laut aa.e
Ameer Imam
2 likes
zameen ke saare manaazir se kat ke sota hooñ main aasmaañ ke safar se palat ke sota hooñ main jama karta hooñ shab ke siyaahi qatron ko b-waqt-e-subh phir un ko palat ke sota hooñ talash dhoop men karta hooñ saara din KHud ko tamaam-raat sitaaron men bat ke sota hooñ kahaan sukoon ki shab-o-roz ghoomna us ka zaraa zameen ke mehwar se hat ke sota hooñ tire badan ki khalaon men aankh khulti hai hawa ke jism se jab jab lipt ke sota hooñ main jaag jaag ke raatein guzaarne vaala ik aisi raat bhi aati hai dat ke sota hooñ
Ameer Imam
4 likes
vo apne band-e-qaba kholti to kya lagti KHuda ke vaaste koi kahe khuda-lagti yaqeen thii to yaqeen men samaa gaii kaise gumaan thii to gumaan se bhi maavra lagti agar bikhrti to suraj kabhi nahin ugta tira khayal ki vo zulf bas ghatta lagti tire mareez ko duniya men kuchh nahin lagta davaa lage na raqeebon ki bad-dua lagti hui hai qaid zamaane men raushni kis se bhala vo jism aur us ko koi qaba lagti lagii vo tujh si to aalam men munfarid thehri vagarna aam si lagti agar juda lagti
Ameer Imam
3 likes
ban ke saaya hi sahi saath to hoti hogii kam se kam tujh men tiri zaat to hoti hogii ye alag baat koi chaand ubharta na ho ab dil ki bastii men magar raat to hoti hogii dhoop men kaun kise yaad kiya karta hai par tire shahar men barsaat to hoti hogii ham to sehra men hain tum log sunaao apni shahar se roz mulaqaat to hoti hogii kuchh bhi ho jaa.e magar tere taraf-daar hain sab zindagi tujh men koi baat to hoti hogii
Ameer Imam
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Imam.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Imam's ghazal.







