ghazalKuch Alfaaz

zameen ke saare manaazir se kat ke sota hooñ main aasmaañ ke safar se palat ke sota hooñ main jama karta hooñ shab ke siyaahi qatron ko b-waqt-e-subh phir un ko palat ke sota hooñ talash dhoop men karta hooñ saara din KHud ko tamaam-raat sitaaron men bat ke sota hooñ kahaan sukoon ki shab-o-roz ghoomna us ka zaraa zameen ke mehwar se hat ke sota hooñ tire badan ki khalaon men aankh khulti hai hawa ke jism se jab jab lipt ke sota hooñ main jaag jaag ke raatein guzaarne vaala ik aisi raat bhi aati hai dat ke sota hooñ

Ameer Imam4 Likes

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Ameer Imam

yuñ mire hone ko mujh par aashkaar us ne kiya mujh men poshida kisi dariyaa ko paar us ne kiya pahle sehra se mujhe laaya samundar ki taraf naav par kaaghaz ki phir mujh ko sawaar us ne kiya main tha ik awaaz mujh ko KHaamushi se tod kar kirchiyon ko der tak mirii shumaar us ne kiya din chadha to dhoop ki mujh ko saleeben de gaya raat aayi to mire bistar ko daar us ne kiya jis ko us ne raushni samjha tha mirii dhoop thii shaam hone ka mirii phir intizaar us ne kiya der tak bunta raha aankhoñ ke karghe par mujhe bun gaya jab main to mujh ko taar taar us ne kiya

Ameer Imam

1 likes

un ko khala men koi nazar aanaa chahiye aankhoñ ko toote KHvaab ka harj aanaa chahiye vo kaam rah ke karna pada shahar men ha men majnoon ko jis ke vaaste veer aanaa chahiye is zakhm-e-dil pe aaj bhi surkhi ko dekh kar itra rahe hain ham ha men itrana chahiye tanhaaiyon pe apni nazar kar zaraa kabhi ai bewaqoof dil tujhe ghabr aanaa chahiye hai hijr to kebab na khaane se kya usool gar ishq hai to kya ha men mar j aanaa chahiye danaaiyan bhi khoob hain lekin agar mile dhokha haseen sa to use kh aanaa chahiye beete dinon ki koi nishaani to saath ho jaan-e-haya tumhein zaraa sharm aanaa chahiye is shaay'ri men kuchh nahin naqqaad ke li.e dildaar chahiye koi deew aanaa chahiye

Ameer Imam

6 likes

vo apne band-e-qaba kholti to kya lagti KHuda ke vaaste koi kahe khuda-lagti yaqeen thii to yaqeen men samaa gaii kaise gumaan thii to gumaan se bhi maavra lagti agar bikhrti to suraj kabhi nahin ugta tira khayal ki vo zulf bas ghatta lagti tire mareez ko duniya men kuchh nahin lagta davaa lage na raqeebon ki bad-dua lagti hui hai qaid zamaane men raushni kis se bhala vo jism aur us ko koi qaba lagti lagii vo tujh si to aalam men munfarid thehri vagarna aam si lagti agar juda lagti

Ameer Imam

3 likes

aag ke saath main bahta hua paani sunna raat-bhar apne anaasir ki sunaani sunna dekhna roz andheron men shua'on ki numoo pattharon men kisi dariyaa ki ravaani sunna vo sunaayengi kabhi mirii kahaanii tum ko tum hawaon se kabhi mirii kahaanii sunna mirii khaamoshi mirii maskh hai is maskh men tum maar kar teer mirii tishna-dahaani sunna umr na-kaafi hai is hijrat-e-awwal ke li.e phir janam luun to mirii hijrat-e-saani sunna kam-sini par hai ajab haal tumhaara yaaro sun lo aasaan nahin us ki jawaani sunna geet mere jo pasand aate hain itne tum ko inheen geeton ki kabhi marsiya-khwani sunna kya naya tum ko sunaau ki naya kuchh bhi nahin naye lafzon men vahii baat puraani sunna

Ameer Imam

2 likes

mazid ik baar par baar-e-giraan rakha gaya hai zameen jo tere upar aasmaañ rakha gaya hai kabhi tu cheekh kar awaaz de to jaan jaaun mire zindaan men tujh ko kahaan rakha gaya hai mirii neendon men rahtii hai sadaa tishna-dahaani mire KHvaabon men ik dariyaa ravaan rakha gaya hai hawa ke saath phoolon se nikalne ki saza men bhatkati khushbuon ko be-amaan rakha gaya hai magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage tumhaare b'ad ye saara jahaan rakha gaya hai

Ameer Imam

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ameer Imam.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ameer Imam's ghazal.