ghazalKuch Alfaaz

yuun bhi hua kamal mire paas aa gai hairat hai zindagi ko miri shakl bha gai mujh se juda kiya hai mujhe us ke khvab ne ankhon men ik hasin si tasvir chha gai donon taraf ki aag ne kya kya nahin kiya donon ki niind chhin li aur chain kha gai main bhi tamam raat jala huun usi ke saath us ki bhi ek ek ada zulm dha gai honton pe raqs karti miri intihai pyaas guzri hadon se aise ki manzil ko pa gai yun bhi hua kamal mere pas aa gai hairat hai zindagi ko meri shakl bha gai mujh se juda kiya hai mujhe us ke khwab ne aankhon mein ek hasin si taswir chha gai donon taraf ki aag ne kya kya nahin kiya donon ki nind chhin li aur chain kha gai main bhi tamam raat jala hun usi ke sath us ki bhi ek ek ada zulm dha gai honton pe raqs karti meri intihai pyas guzri hadon se aise ki manzil ko pa gai

Related Ghazal

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Raghvendra Dwivedi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Raghvendra Dwivedi's ghazal.