yuñ lag raha hai jaise koi aas-paas hai vo kaun hai jo hai bhi nahin aur udaas hai mumkin hai likhne waale ko bhi ye khabar na ho qisse men jo nahin hai vahii baat khaas hai maane na maane koi haqeeqat to hai yahii charkha hai jis ke paas usii ki kapaas hai itnaa bhi ban-sanwar ke na niklaa kare koi lagta hai har libaas men vo be-libaas hai chhota badaa hai paani KHud apne hisaab se utni hi har nadi hai yahaañ jitni pyaas hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Nida Fazli
chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain
Nida Fazli
0 likes
insaan men haiwaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi allah nigahbaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi khoon-khwaar darindon ke faqat naam alag hain har shahar bayaabaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi hindu bhi sukoon se hai musalmaan bhi sukoon se insaan pareshaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi rehmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat har khel ka maidaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi uthata hai dil-o-jaan se dhuaan dono taraf hi ye meer ka deevaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi
Nida Fazli
1 likes
zameen dii hai to thoda sa aasmaañ bhi de mire KHuda mire hone ka kuchh gumaan bhi de banaa ke but mujhe beenaai ka azaab na de ye hi azaab hai qismat to phir zabaan bhi de ye kaayenaat ka failaav to bahut kam hai jahaan samaa sake tanhaaii vo makaan bhi de main apne aap se kab tak kiya karoon baatein mirii zabaan ko bhi koi tarjumaan bhi de falak ko chaand-sitaare nawaazne waale mujhe charaaghh jalane ko saaebaan bhi de
Nida Fazli
1 likes
uth ke kapde badal ghar se baahar nikal jo hua so hua raat ke baa'd din aaj ke baa'd kal jo hua so hua jab talak saans hai bhook hai pyaas hai ye hi itihaas hai rakh ke kaandhe pe hal khet ki or chal jo hua so hua KHoon se tar-b-tar kar ke har raahguzaar thak chuke jaanwar lakdiyon ki tarah phir se choolhe men jal jo hua so hua jo mara kyun mara jo luta kyun luta jo jala kyun jala muddaton se hain gham in sawaalon ke hal jo hua so hua mandiron men bhajan masjidoon men azaan aadmi hai kahaan aadmi ke li.e ek taaza ghazal jo hua so hua
Nida Fazli
1 likes
raakshas tha na KHuda tha pahle aadmi kitna badaa tha pahle aasmaañ khet samundar sab laal KHoon kaaghaz pe ugaa tha pahle main vo maqtool jo qaateel na banaa haath meraa bhi utha tha pahle ab kisi se bhi shikaayat na rahi jaane kis kis se gilaa tha pahle shahar to baa'd men veeraan hua meraa ghar KHaak hua tha pahle
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







