ghazalKuch Alfaaz

yuun meri bebasi ka tamasha na kijiye ehsan kar ke mujh pe jataya na kijiye karna hai faisla to karen pur-sukun aap yuun asman sar pe uthaya na kijiye khaae hue nivalon ka rakhta hai jo hisab da'vat men us bakhil ke jaaya na kijiye nuqsan is men hoga bahut aap ka 'mujib' ghhairon ko dil ki baat bataya na kijiye yun meri bebasi ka tamasha na kijiye ehsan kar ke mujh pe jataya na kijiye karna hai faisla to karen pur-sukun aap yun aasman sar pe uthaya na kijiye khae hue niwalon ka rakhta hai jo hisab da'wat mein us bakhil ke jaya na kijiye nuqsan is mein hoga bahut aap ka 'mujib' ghairon ko dil ki baat bataya na kijiye

Related Ghazal

mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai

Ahmad Abdullah

50 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai hamaari socho ha men imtihaan dena hai gulaab bhi hain gulaabon men khaar bhi hain bataa nishaani deni hai ya phir nishaan dena hai teraa sawaal meri jaan ka sawaal hai aur javaab dene se aasaan jaan dena hai unhonne apne mutaabiq saza suna dii hai ha men saza ke mutaabiq bayaan dena hai ye bezubaanon ki mehfil hai dost yaad rahe yahaañ KHamoshii ka matlab zubaan dena hai

Charagh Sharma

39 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

vo paas kya zaraa sa muskuraa ke baith gaya main is mazaak ko dil se laga ke baith gaya jab us ki bazm men daar-o-rasan ki baat chali main jhat se uth gaya aur aage aa ke baith gaya darakht kaat ke jab thak gaya lakad-haara to ik darakht ke saa.e men ja ke baith gaya tumhaare dar se main kab uthna chahta tha magar ye meraa dil hai ki mujh ko utha ke baith gaya jo mere vaaste kursi lagaaya karta tha vo meri kursi se kursi laga ke baith gaya phir us ke baa'd kaii log uth ke jaane lage main uth ke jaane ka nuskha bataa ke baith gaya

Zubair Ali Tabish

40 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mujeeb Ahmad Mujeeb.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mujeeb Ahmad Mujeeb's ghazal.