ghazalKuch Alfaaz

yunhi be-sabab na phira karo koi shaam ghar men raha karo vo ghhazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo koi haath bhi na milaega jo gale miloge tapak se ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo abhi raah men kai mod hain koi aaega koi jaega tumhen jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo mujhe ishtihar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan jo kaha nahin vo suna karo jo suna nahin vo kaha karo kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara ashiqana libas men jo main ban sanvar ke kahin chalun mire saath tum bhi chala karo nahin be-hijab vo chand sa ki nazar ka koi asar na ho use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo ye khizan ki zard si shaal men jo udaas ped ke paas hai ye tumhare ghar ki bahar hai use ansuon se hara karo yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo abhi rah mein kai mod hain koi aaega koi jaega tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hai ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo

Related Ghazal

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa

Zubair Ali Tabish

66 likes

usne do chaar kar diya mujh...ko zehni beemaar kar diya mujh...ko kyuuñ nahin dastaras men tu mere kyuuñ talabgaar kar diya mujh...ko kabhi patthar kabhi KHuda usne chaaha jo yaar kar diya mujh...ko usse koi sawaal mat karna usne inkaar kar diya mujh...ko ek insaan hi to maanga tha us..ko bhi maar kar diya mujh...ko

Himanshi babra KATIB

51 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai

Bashir Badr

1 likes

jab raat ki tanhaaii dil ban ke dhadkati hai yaadon ke dareechon men chilman si sarkati hai loban men chingaari jaise koi rakh jaa.e yuñ yaad tiri shab bhar seene men sulagti hai yuñ pyaar nahin chhupta palkon ke jhukaane se aankhoñ ke lifaafon men tahreer chamakti hai khush-rang parindon ke laut aane ke din aa.e bichhde hue milte hain jab barf pighalti hai shohrat ki bulan dii bhi pal bhar ka tamasha hai jis daal pe baithe ho vo toot bhi sakti hai

Bashir Badr

10 likes

shaam aankhoñ men aankh paani men aur paani sara-e-faani men jhilmilaate hain kashtiyon men diye pul khade so rahe hain paani men KHaak ho jaayegi zameen ik din aasmaanon ki aasmaani men vo hawa hai use kahaan dhundhun aag men KHaak men ki paani men aa pahaadon ki tarah saamne aa in dinon main bhi hooñ ravaani men

Bashir Badr

3 likes

phool barase kahii shabnam kahii gauhar barase aur is dil ki taraf barase to patthar barase koi baadal ho to tham jaa.e magar ashk mire ek raftaar se din raat barabar barase barf ke phoolon se raushan hui tareek zameen raat ki shaakh se jaise mah o akhtar barase pyaar ka geet andheron pe ujaalon ki fuwaar aur nafrat ki sadaa sheeshe pe patthar barase baarishen chat pe khulii jagahon pe hoti hain magar gham vo saawan hai jo un kamron ke andar barase

Bashir Badr

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.