za’m-e-hasti ek lamhe men hava ho jaega jab haqiqat se tumhara samna ho jaega main hamesha ke liye samjhunga khud ko sarbarah aur phir ik din mira beta bada ho jaega samne rakh kar haqaeq hausle tartib do varna paiman-e-mohabbat khokhla ho jaega dil mira tutega ummiden fana ho jaengi is se badh kar tum batao aur kya ho jaega dekhiye sahab hai kursi zarf valon ke liye jab koi kam-zarf baithega khuda ho jaega titliyan rakht-e-safar bandhengi mar jaenge phuul aap ke jaane se manzar bad-numa ho jaega chhodiye beja pareshani ka hasil kuchh nahin jo bhi achchha ya bura hona hua ho jaega kaun deta hai hamesha saath 'nazir' dekhna shaam hote hi ye saaya bevafa ho jaega za’m-e-hasti ek lamhe mein hawa ho jaega jab haqiqat se tumhaara samna ho jaega main hamesha ke liye samjhunga khud ko sarbarah aur phir ek din mera beta bada ho jaega samne rakh kar haqaeq hausle tartib do warna paiman-e-mohabbat khokhla ho jaega dil mera tutega ummiden fana ho jaengi is se badh kar tum batao aur kya ho jaega dekhiye sahab hai kursi zarf walon ke liye jab koi kam-zarf baithega khuda ho jaega titliyan rakht-e-safar bandhengi mar jaenge phul aap ke jaane se manzar bad-numa ho jaega chhodiye beja pareshani ka hasil kuchh nahin jo bhi achchha ya bura hona hua ho jaega kaun deta hai hamesha sath 'nazir' dekhna sham hote hi ye saya bewafa ho jaega
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Usman Naazir.
Similar Moods
More moods that pair well with Usman Naazir's ghazal.







