ghazalKuch Alfaaz

zaat ka dasht-e-khatar yaad aaya daf'atan auj-e-bashar yaad aaya khana-e-khvab men dam le lete kya karen apna hi ghar yaad aaya sabz shakhon pe dahakte hue phuul manzar-e-khvab-asar yaad aaya chand jhonke the havaon ke magar phir na patta na shajar yaad aaya aisa abad tha sahra-e-junun kaisi divar na dar yaad aaya abr ne jab bhi udaya anchal apna hi daman-e-tar yaad aaya sard inkar ke zindanon men garm khushbu ka guzar yaad aaya rang aur chehra-e-qatil se khafa koi 'unvan-e-khabar yaad aaya asman chahe gire ya na gire dekhen kis kis ko hai sar yaad aaya da'va-e-zohd-o-'ibadat se mujhe ik riya-kar ka shar yaad aaya ji men thani hai na bhulenge kabhi vo agar bar-e-digar yaad aaya ghham ko bazar dikhana hi pada vaqt-e-'usrat ye hunar yaad aaya us shab-e-zar ke andhere men kise ashk-e-taban ka guhar yaad aaya gul khilata hua har ek ravish phir mira sho’la-e-fariyad aaya hai zamin jis ki haqiqat ka suraghh 'fauq' vo khvab-e-sahar yaad aaya zat ka dasht-e-khatar yaad aaya daf'atan auj-e-bashar yaad aaya khana-e-khwab mein dam le lete kya karen apna hi ghar yaad aaya sabz shakhon pe dahakte hue phul manzar-e-khwab-asar yaad aaya chand jhonke the hawaon ke magar phir na patta na shajar yaad aaya aisa aabaad tha sahra-e-junun kaisi diwar na dar yaad aaya abr ne jab bhi udaya aanchal apna hi daman-e-tar yaad aaya sard inkar ke zindanon mein garm khushbu ka guzar yaad aaya rang aur chehra-e-qatil se khafa koi 'unwan-e-khabar yaad aaya aasman chahe gire ya na gire dekhen kis kis ko hai sar yaad aaya da'wa-e-zohd-o-'ibaadat se mujhe ek riya-kar ka shar yaad aaya ji mein thani hai na bhulenge kabhi wo agar bar-e-digar yaad aaya gham ko bazar dikhana hi pada waqt-e-'usrat ye hunar yaad aaya us shab-e-zar ke andhere mein kise ashk-e-taban ka guhar yaad aaya gul khilata hua har ek rawish phir mera sho’la-e-fariyaad aaya hai zamin jis ki haqiqat ka suragh 'fauq' wo khwab-e-sahar yaad aaya

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hanif Fauq.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hanif Fauq's ghazal.