ghazalKuch Alfaaz

zaban rakhta huun lekin chup khada huun main avazon ke ban men ghir gaya huun mire ghar ka daricha puchhta hai main saara din kahan phirta raha huun mujhe mere siva sab log samjhen main apne aap se kam bolta huun sitaron se hasad ki intiha hai main qabron par charaghhan kar raha huun sambhal kar ab havaon se ulajhna main tujh se pesh-tar bujhne laga huun miri qurbat se kyuun khaif hai duniya samundar huun main khud men gunjta huun mujhe kab tak sametega vo 'mohsin' main andar se bahut tuuta hua huun zaban rakhta hun lekin chup khada hun main aawazon ke ban mein ghir gaya hun mere ghar ka daricha puchhta hai main sara din kahan phirta raha hun mujhe mere siwa sab log samjhen main apne aap se kam bolta hun sitaron se hasad ki intiha hai main qabron par charaghan kar raha hun sambhal kar ab hawaon se ulajhna main tujh se pesh-tar bujhne laga hun meri qurbat se kyun khaif hai duniya samundar hun main khud mein gunjta hun mujhe kab tak sametega wo 'mohsin' main andar se bahut tuta hua hun

Related Ghazal

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge

Khalil Ur Rehman Qamar

50 likes

hijr men KHud ko tasalli dii kaha kuchh bhi nahin dil magar hansne laga aaya badaa kuchh bhi nahin ham agar sabr men rahte hain to kya kuchh bhi nahin jaane waalo kabhi aa dekho bacha kuchh bhi nahin be-dili yuñ hi ki rab koi maseeha bheje ham maseeha se bhi kah denge o ja kuchh bhi nahin dekhe bin ishq hua dekhe bina door huye itnaa kuchh ho bhi gaya aur hua kuchh bhi nahin saste aabid na banen lat ko ibadat na kahein aashiqi lazzat-o-zillat ke siva kuchh bhi nahin main tere baad musallii pe bahut rota raha aur kaha yaar KHuda KHair bhala kuchh bhi nahin ishq mardaana tabiyat nahin rakhta afkaar varna ye husn-o-jamaal aur ada kuchh bhi nahin

Afkar Alvi

26 likes

rooh jism ka thaur thikaana chaltaa rehta hai jeena marna khona paana chaltaa rehta hai sukh dukh waali chadar ghatti badhti rahtii hai maula teraa taana waana chaltaa rehta hai ishq karo to jeete jee mar jaana padta hai mar kar bhi lekin jurmaana chaltaa rehta hai jin nazaron ne kaam dilaayaa ghazlein kehne ka aaj talak unko nazraana chaltaa rehta hai

Kumar Vishwas

28 likes

nahin hai munsir is baat par yaari hamaari ke tu karta rahe naahak tarafdaari hamaari andhere men ha men rakhna to khaamoshi se rakhna kahii bedaar na ho jaaye bedaari hamaari magar achha to ye hota ham ek saath rahte bharii rahtii tere kapdo se almaari hamaari ham aasaani se khul jaaye magar ek masla hai tumhaari satah se u uupar hai tahdaari hamaari kahaanikaar ne kirdaar hi aisa diya hai adaakaari nahin lagti adaakaari hamaari ha men jeete chale jaane par maail karne waali yaha koi nahin lekin sukhankaari hamaari

Jawwad Sheikh

26 likes

More from Mohsin Naqvi

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke

Mohsin Naqvi

1 likes

tire badan se jo choo kar idhar bhi aata hai misaal-e-rang vo jhonka nazar bhi aata hai tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas diya hawa ki raah men ik aisa ghar bhi aata hai vo mujh ko toot ke chahega chhod jaayega mujhe khabar thii use ye hunar bhi aata hai ujaad ban men utarta hai ek jugnoo bhi hawa ke saath koi hum-safar bhi aata hai vafaa ki kaun si manzil pe us ne chhodaa tha ki vo to yaad ha men bhool kar bhi aata hai jahaan lahu ke samundar ki had thaharti hai wahin jazeera-e-laal-o-guhar bhi aata hai chale jo zikr farishton ki paarsaai ka to zer-e-bahs maqaam-e-bashar bhi aata hai abhii sinaan ko sambhaale rahen adoo mere ki un safoon men kahii meraa sar bhi aata hai k abhii k abhii mujhe milne bulandiyon se koi shua-e-subh ki soorat utar bhi aata hai isee li.e main kisi shab na so sakaa mohsin vo mahtaab k abhii baam par bhi aata hai

Mohsin Naqvi

2 likes

hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua

Mohsin Naqvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.