ghazalKuch Alfaaz

zabt kar ke hañsi ko bhool gaya main to us zakham hi ko bhool gaya zaat-dar-zaat hum-safar rah kar ajnabi ajnabi ko bhool gaya subh tak wajh-e-jaan-kani thii jo baat main use shaam hi ko bhool gaya ahd-e-wabastagi guzaar ke main wajh-e-wabastagi ko bhool gaya kyun na ho naaz is zehaanat par ek main har kisi ko bhool gaya sab daleelen to mujh ko yaad raheen bahs kya thii usii ko bhool gaya sab se pur-amn vaqiaa' ye hai aadmi aadmi ko bhool gaya qahqaha maarte hi deewaana har gham-e-zindagi ko bhool gaya khwaab-ha-khwaab jis ko chaaha tha rang-ha-rang usii ko bhool gaya kya qayamat hui agar ik shaKHs apni khush-qismati ko bhool gaya soch kar us ki khalvat-anjumani waan main apni kamii ko bhool gaya sab bure mujh ko yaad rahte hain jo bhala tha usii ko bhool gaya un se vaa'da to kar liya lekin apni kam-fursati ko bhool gaya bastiyo ab to raasta de do ab to main us gali ko bhool gaya us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usii ko bhool gaya ya'ni tum vo ho Vaaqaii had hai main to sach-much sabhi ko bhool gaya aakhiri but KHuda na kyun thehre but-shikan but-gari ko bhool gaya ab to har baat yaad rahtii hai ghaliban main kisi ko bhool gaya us ki KHushiyon se jalne vaala jaun apni eeza-dahee ko bhool gaya

Jaun Elia34 Likes

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Jaun Elia

koii haalat nahin ye haalat hai ye to aashob-naak soorat hai anjuman men ye meri khaamoshi burdabaari nahin hai vehshat hai tujh se ye gaah-gaah ka shikwa jab talak hai basaa ghaneemat hai khwaahishein dil ka saath chhod gaiin ye aziyyat badi aziyyat hai log masroof jaante hain mujhe yaa mira gham hi meri fursat hai tanj pairaaya-e-tabasum men is takalluf kii kya zaroorat hai ham ne dekha to ham ne ye dekha jo nahin hai vo khoobsurat hai vaar karne ko jaan-nisaar aayen ye to eesaar hai inaayat hai garm-joshi aur is qadar kya baat kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai ab nikal aao apne andar se ghar men samaan kii zaroorat hai aaj ka din bhi aish se guzra sar se pa tak badan salaamat hai

Jaun Elia

14 likes

koi dam bhi main kab andar raha hooñ li.e hain saans aur baahar raha hooñ dhuen men saans hain saanson men pal hain main raushan-daan tak bas mar raha hooñ fana har dam mujhe ginti rahi hai main ik dam ka tha aur din bhar raha hooñ zaraa ik saans roka to laga yuñ ki itni der apne ghar raha hooñ b-juz apne muyassar hai mujhe kya so KHud se apni jeben bhar raha hooñ hamesha zakham pahunchen hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hooñ lita de neend ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hooñ

Jaun Elia

19 likes

apni manzil ka raasta bhejo jaan ham ko vahaañ bula bhejo kya hamaara nahin raha saawan zulf yaa bhi koi ghatta bhejo nayi kaliyaan jo ab khili hain vahaañ un ki khushboo ko ik zaraa bhejo ham na jeete hain aur na marte hain dard bhejo na tum davaa bhejo dhool udti hai jo us aangan meinus ko bhejo saba saba bhejo ai fakeero gali ke us gul ki tum ha men apni khaak-e-pa bhejo shafq-e-shaam-e-hijr ke haathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo

Jaun Elia

13 likes

tujh men pada hua hooñ harkat nahin hai mujh men haalat na poochiyo tu haalat nahin hai mujh men ab to nazar men aa ja baanhon ke ghar men aa ja ai jaan teri koi soorat nahin hai mujh men ai rang rang men aa aaghosh-e-tang men aa baatein hi rang ki hain rangat nahin hai mujh men apne men hi kisi ki ho roo-b-rooi mujh ko hooñ KHud se roo-b-roo hooñ himmat nahin hai mujh men ab to simat ke aa ja aur rooh men samaa ja vaise kisi ki pyaare wusa'at nahin hai mujh men sheeshe ke is taraf se main sab ko tak raha hooñ marne ki bhi kisi ko furqat nahin hai mujh men tum mujh ko apne ram men le jaao saath apne apne se ai ghazaalo vehshat nahin hai mujh men

Jaun Elia

21 likes

tumhaara hijr manaa luun agar ijaazat ho main dil kisi se laga luun agar ijaazat ho tumhaare baad bhala kya hain waada-o-paimaan bas apna waqt ganwa luun agar ijaazat ho tumhaare hijr ki shab haaye car men jaanaan koi chiraag jala luun agar ijaazat ho junoon vahii hai vahii hai magar hai shahar naya yahaañ bhi shor macha luun agar ijaazat ho kise hai khwaahish-e-marham gari magar phir bhi main apne zakham dikha luun agar ijaazat ho tumhaare yaad men jeene ki aarzoo hai abhii kuchh apna haal sambhaaloon agar ijaazat ho

Jaun Elia

45 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Elia.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Elia's ghazal.