ghazalKuch Alfaaz

zamin pe insan khuda bana tha vaba se pahle vo khud ko sab kuchh samajh raha tha vaba se pahle palak jhapakte hi saara manzar badal gaya hai yahan to mela laga hua tha vaba se pahle tum aaj hathon se duriyan napte ho socho dilon men kis darja fasla tha vaba se pahle ajiib si daud men sab aise lage hue the makan makinon ko dhundhta tha vaba se pahle ham aaj khalvat men is zamane ko ro rahe hain vo jis se sab ko bahut gila tha vaba se pahle na jaane kyon aa gaya dua men miri vo bachcha sadak pe jo phuul bechta tha vaba se pahle dua ko utthe hain haath 'amabar' to dhyan aaya ye asman surkh ho chuka tha vaba se pahle zamin pe insan khuda bana tha waba se pahle wo khud ko sab kuchh samajh raha tha waba se pahle palak jhapakte hi sara manzar badal gaya hai yahan to mela laga hua tha waba se pahle tum aaj hathon se duriyan napte ho socho dilon mein kis darja fasla tha waba se pahle ajib si daud mein sab aise lage hue the makan makinon ko dhundhta tha waba se pahle hum aaj khalwat mein is zamane ko ro rahe hain wo jis se sab ko bahut gila tha waba se pahle na jaane kyon aa gaya dua mein meri wo bachcha sadak pe jo phul bechta tha waba se pahle dua ko utthe hain hath 'amabar' to dhyan aaya ye aasman surkh ho chuka tha waba se pahle

Related Ghazal

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

jab se usne kheecha hai khidki ka parda ek taraf uskaa kamra ek taraf hai baaki duniya ek taraf maine ab tak jitne bhi logon men KHud ko baanta hai bachpan se rakhta aaya hooñ teraa hissa ek taraf ek taraf mujhe jal dii hai uske dil men ghar karne ki ek taraf vo kar deta hai rafta rafta ek taraf yuñ to aaj bhi teraa dukh dil dahla deta hai lekin tujh se juda hone ke baad ka pehla hafta ek taraf uski aankhoñ ne mujhse meri khuddaari cheeni varna paanv ki thokar se kar deta tha main duniya ek taraf meri marzi thii main zarre chunta ya lahren chunta usne sehra ek taraf rakha aur dariyaa ek taraf

Tehzeeb Hafi

122 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ambareen Haseeb ambar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ambareen Haseeb ambar's ghazal.