zara si der ko aae the khvab ankhon men phir us ke baad musalsal azaab ankhon men vo jis ke naam ki nisbat se raushni tha vajud khatak raha hai vahi aftab ankhon men jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the ham vo aaine bhi hue be-hijab ankhon men ajab tarah ka hai mausam ki khaak udti hai vo din bhi the ki khile the gulab ankhon men mire ghhazal tiri vahshaton ki khair ki hai bahut dinon se bahut iztirab ankhon men na jaane kaisi qayamat ka pesh-khema hai ye uljhanen tiri be-intisab ankhon men javaz kya hai mire kam-sukhan bata to sahi ba-nam-e-khush-nigahi har javab ankhon men zara si der ko aae the khwab aankhon mein phir us ke baad musalsal azab aankhon mein wo jis ke nam ki nisbat se raushni tha wajud khatak raha hai wahi aaftab aankhon mein jinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the hum wo aaine bhi hue be-hijab aankhon mein ajab tarah ka hai mausam ki khak udti hai wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein mere ghazal teri wahshaton ki khair ki hai bahut dinon se bahut iztirab aankhon mein na jaane kaisi qayamat ka pesh-khema hai ye uljhanen teri be-intisab aankhon mein jawaz kya hai mere kam-sukhan bata to sahi ba-nam-e-khush-nigahi har jawab aankhon mein
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe
Abrar Kashif
54 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya
Mehshar Afridi
53 likes
More from Iftikhar Arif
koi to phool khilaaye dua ke lehje men ajab tarah ki ghutan hai hawa ke lehje men ye vaqt kis ki ra'unat pe KHaak daal gaya ye kaun bol raha tha KHuda ke lehje men na jaane khalk-e-khuda kaun se azaab men hai hawaaein cheekh padeen iltijaa ke lehje men khula fareb-e-mohabbat dikhaai deta hai ajab kamaal hai us be-vafa ke lehje men yahii hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir ham apna haal kaheinge chhupa ke lehje men
Iftikhar Arif
1 likes
vafaa ki KHair manaata hooñ be-vafaaii men bhi main us ki qaid men hooñ qaid se rihaai men bhi lahu ki aag men jal-bujh ga.e badan to khula rasai men bhi khasaara hai na-rasaai men bhi badalte rahte hain mausam guzarta rehta hai vaqt magar ye dil ki wahin ka wahin judaai men bhi lihaaz-e-hurmat-e-paema'n na paas-e-hum-khwaabi ajab tarah ke tasaadum the aashnaai men bhi main das baras se kisi KHvaab ke azaab men hooñ wahin azaab dar aaya hai is dahaai men bhi tasaadum-e-dil-o-duniya men dil ki haar ke baa'd hijaab aane laga hai ghazal-saraai men bhi main ja raha hooñ ab us ki taraf usii ki taraf jo mere saath tha meri shikasta-paai men bhi
Iftikhar Arif
0 likes
diyaar-e-noor men teera-shabon ka saa thii ho koi to ho jo mirii vahshaton ka saa thii ho main us se jhooth bhi boluun to mujh se sach bole mire mizaaj ke sab mausamon ka saa thii ho main us ke haath na aaun vo meraa ho ke rahe main gir padhoon to mirii pastiyon ka saa thii ho vo mire naam ki nisbat se mo'tabar thehre gali gali mirii rusvaaiyon ka saa thii ho kare kalaam jo mujh se to mire lehje men main chup rahoon to mire tevaron ka saa thii ho main apne aap ko dekhooñ vo mujh ko dekhe jaa.e vo mire nafs ki gumraahiyo ka saa thii ho vo KHvaab dekhe to dekhe mire hawaale se mire khayal ke sab manzaron ka saa thii ho
Iftikhar Arif
1 likes
ye bastii jaani-pahchaani bahut hai yahaañ va'don ki arzaani bahut hai shagufta lafz likkhe ja rahe hain magar lahjon men veeraani bahut hai subuk-zarfon ke qaabu men nahin lafz magar shauq-e-gul-afshaani bahut hai hai bazaaron men paani sar se ooncha mire ghar men bhi tugh yaanii bahut hai na jaane kab mire sehra men aa.e vo ik dariyaa ki toofaani bahut hai na jaane kab mire aangan men barase vo ik baadal ki nuqsaani bahut hai
Iftikhar Arif
0 likes
kahaan ke naam o nasab ilm kya fazilat kya jahaan-e-rizq men tauqeer-e-ahl-e-haajat kya shikam ki aag li.e phir rahi hai shahr-b-shahr sag-e-zamaana hain ham kya hamaari hijrat kya dimashq-e-maslahat o kuufa-e-nifaq ke beech fughan-e-qaafila-e-be-nawa ki qeemat kya maal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham badal ga.e to badlne pe itni hairat kya qimaar-khaana-e-hasti men ek baazi par tamaam umr laga dii to phir shikaayat kya farogh-e-sanat-e-qad-aavari ka mausam hai subuk hue pe bhi niklaa hai qadd-o-qaamat kya
Iftikhar Arif
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Arif.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Arif's ghazal.







