zara socho to mere saath aisa kyuun hua hai badan tuuta hua tha paara paara kyuun hua hai khud apni mauj se begana dariya kyuun hua hai jo hona hi nahin tha aaj aisa kyuun hua hai suron par asman duuba hua hai badalon men dukhon ki jhiil ka paani bhi gahra kyuun hua hai khudaya ajizi se main ne manga kya mila kya asar meri duaon ka ye ulta kyuun hua hai ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aai hai yakayak meri ankhon men andhera kyuun hua hai vahan ki ab-ju men tel bahta hai barabar yahan vaadi men apni khushk dariya kyuun hua hai kahan jaenge tujh ko chhod kar ai maan bata de tiri aghhosh men dushvar jiina kyuun hua hai ye kis ne kar diya do lakht mujh ko aaj 'hamdam' kahan huun main mira saaya akela kyuun hua hai zara socho to mere sath aisa kyun hua hai badan tuta hua tha para para kyun hua hai khud apni mauj se begana dariya kyun hua hai jo hona hi nahin tha aaj aisa kyun hua hai suron par aasman duba hua hai baadalon mein dukhon ki jhil ka pani bhi gahra kyun hua hai khudaya aajizi se main ne manga kya mila kya asar meri duaon ka ye ulta kyun hua hai ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aai hai yakayak meri aankhon mein andhera kyun hua hai wahan ki aab-ju mein tel bahta hai barabar yahan wadi mein apni khushk dariya kyun hua hai kahan jaenge tujh ko chhod kar ai man bata de teri aaghosh mein dushwar jina kyun hua hai ye kis ne kar diya do lakht mujh ko aaj 'hamdam' kahan hun main mera saya akela kyun hua hai
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hamdam Kashmiri.
Similar Moods
More moods that pair well with Hamdam Kashmiri's ghazal.







