ghazalKuch Alfaaz

ziist ki garmi-e-bedar bhi laaya suraj khul gai aankh miri sar pe jo aaya suraj phir shu'a'on ne mire jism pe dastak di hai phir jagane mire ehsas ko aaya suraj kisi dulhan ke jhamakte hue jhumar ki tarah raat ne subh ke mathe pe sajaya suraj shaam ko ruuth gaya tha mujhe tadpane ko subh-dam aap mujhe dhundne aaya suraj kam na tha us ka ye ehsan ki jaate jaate kar gaya aur bhi lamba mira saaya suraj dalte us pe kamanden vo koi chand na tha sau jatan sab ne kiye haath na aaya suraj khuub vaqif tha vo insan ke andhe-pan se jis ne bhi din ke ujale men jalaya suraj log kahte rahe suraj ko dikhaenge charaghh aur hi rang tha jab samne aaya suraj shab ko bhi ruuh ke angan men rahi dhuup 'qatil' chand taron ne bhi aa kar na bujhaya suraj zist ki garmi-e-bedar bhi laya suraj khul gai aankh meri sar pe jo aaya suraj phir shu'a'on ne mere jism pe dastak di hai phir jagane mere ehsas ko aaya suraj kisi dulhan ke jhamakte hue jhumar ki tarah raat ne subh ke mathe pe sajaya suraj sham ko ruth gaya tha mujhe tadpane ko subh-dam aap mujhe dhundne aaya suraj kam na tha us ka ye ehsan ki jate jate kar gaya aur bhi lamba mera saya suraj dalte us pe kamanden wo koi chand na tha sau jatan sab ne kiye hath na aaya suraj khub waqif tha wo insan ke andhe-pan se jis ne bhi din ke ujale mein jalaya suraj log kahte rahe suraj ko dikhaenge charagh aur hi rang tha jab samne aaya suraj shab ko bhi ruh ke aangan mein rahi dhup 'qatil' chand taron ne bhi aa kar na bujhaya suraj

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

More from Qateel Shifai

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang

Qateel Shifai

1 likes

apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ

Qateel Shifai

6 likes

khula hai jhooth ka bazaar aao sach boleinna ho bala se khareedaar aao sach bolein sukoot chaaya hai insaaniyat ki qadron par yahii hai mauqa-e-izhaar aao sach bolein ha men gawaah banaya hai vaqt ne apna b-naam-e-azmat-e-kirdaar aao sach bolein suna hai vaqt ka haakim badaa hi munsif hai pukaar kar sar-e-darbaar aao sach bolein tamaam shahar men kya ek bhi nahin mansoor kaheinge kya rasn-o-daar aao sach bolein baja ki khoo-e-wafa ek bhi haseen men nahin kahaan ke ham bhi wafadar aao sach bolein jo wasf ham men nahin kyun karen kisi men talash agar zameer hai bedaar aao sach bolein chhu paa.e se kahii chhupte hain daagh chehre ke nazar hai aaina-bardaar aao sach bolein qatil jin pe sadaa pattharon ko pyaar aaya kidhar ga.e vo gunahgaar aao sach bolein

Qateel Shifai

0 likes

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

Qateel Shifai

2 likes

apne haathon ki lakeeron men saja le mujh ko main hoon teraa tu naseeb apna banaa le mujh ko main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daaman main hoongar phool to jude men saja le mujh ko tark-e-ulft ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhoolne waale mujh ko mujh se tu poochne aaya hai vafaa ke maani ye tiri saada-dili maar na dale mujh ko main samundar bhi hoon moti bhi hoon ghota-zan bhi koi bhi naam mira le ke bula le mujh ko tu ne dekha nahin aaiine se aage kuchh bhi khud-parasti men kahii tu na ganwa le mujh ko baandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqaab kaun aisa hai jo ab dhoondh nikale mujh ko KHud ko main baant na daaloon kahii daaman daaman kar diya tu ne agar mere hawaale mujh ko main khule dar ke kisi ghar ka hoon saamaan pyaare tu dabe-paav kabhi aa ke chura le mujh ko kal ki baat aur hai main ab sa rahoon ya na rahoon jitna jee chahe tira aaj sata le mujh ko vaa'da phir vaa'da hai main zahar bhi pee jaaun qatil shart ye hai koi baanhon men sambhaale mujh ko

Qateel Shifai

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qateel Shifai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.