zindagi se yahii gilaa hai mujhe tu bahut der se mila hai mujhe tu mohabbat se koi chaal to chal haar jaane ka hausla hai mujhe dil dhadakta nahin tapkata hai kal jo KHvaahish thii aablaa hai mujhe hum-safar chahiye hujoom nahin ik musaafir bhi qaafila hai mujhe kohkan ho ki qais ho ki faraaz sab men ik shaKHs hi mila hai mujhe
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
More from Ahmad Faraz
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
KHaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete kya beet gaii ab ke faraaz ahl-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyun nahin dete
Ahmad Faraz
4 likes
rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain dar se uthte hain to deewaar se lag jaate hain ishq aaghaaz men halki si khalish rakhta hai baad men saikron aazaar se lag jaate hain pahle pahle havas ik-aadh dukaaan kholti hai phir to bazaar ke bazaar se lag jaate hain bebaasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai ro na paa.e to gale yaar se lag jaate hain katarnen gham ki jo galiyon men udri phirti hain ghar men le aao to ambaar se lag jaate hain daagh daaman ke hon dil ke hon ki chehre ke faraaz kuchh nishaan umr ki raftaar se lag jaate hain
Ahmad Faraz
1 likes
dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan
Ahmad Faraz
1 likes
ab shauq se ki jaañ se guzar jaana chahiye bol ai hawa-e-shehr kidhar jaana chahiye kab tak isee ko aakhiri manzil kaheinge ham koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye vo vaqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar gehre samundron men utar jaana chahiye ab raftagaan ki baat nahin kaarwaan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to suboot-e-khoon-e-tamanna kahii mile hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye
Ahmad Faraz
10 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







