zindagi vaadi o sahra ka safar hai kyuun hai itni viran miri rah-guzar hai kyuun hai tu ujale ki tarah aa ke lipat ja mujh se ik andhera sa idhar aur udhar hai kyuun hai roz milta hai koi dil ko lubhane vaala phir bhi tu hi mira mahbub-e-nazar hai kyuun hai ghar ki tasvir bhi sahra ki tarah hai lekin farq itna hai ki divar hai dar hai kyuun hai jis ko dekhun vahi barbad hua jaata hai aadmi kya hai mohabbat ka khandar hai kyuun hai main samundar huun magar pyaas hai qismat meri mere daman men agar 'ashk' guhar hai kyuun hai zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai itni viran meri rah-guzar hai kyun hai tu ujale ki tarah aa ke lipat ja mujh se ek andhera sa idhar aur udhar hai kyun hai roz milta hai koi dil ko lubhane wala phir bhi tu hi mera mahbub-e-nazar hai kyun hai ghar ki taswir bhi sahra ki tarah hai lekin farq itna hai ki diwar hai dar hai kyun hai jis ko dekhun wahi barbaad hua jata hai aadmi kya hai mohabbat ka khandar hai kyun hai main samundar hun magar pyas hai qismat meri mere daman mein agar 'ashk' guhar hai kyun hai
Related Ghazal
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibrahim Ashk.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibrahim Ashk's ghazal.







