ghazalKuch Alfaaz

ziyaada kuchh nahin himmat to kar hi sakte hain ik achchhe kaam ki niyat to kar hi sakte hain KHuda ke haath se likkha muqaddar apni jagah ham uske bande hain mehnat to kar hi sakte hain gareeb log marammat na kar saken to kya shikasta ghar ki hifazat to kar hi sakte hain hamaare bacche ijaazat talab nahin karte magar bataane ki zahmat to kar hi sakte hain hazaaron saal guzaare hain muqte dii rah kar ik-aadh baar imaamat to kar hi sakte hain to kya hua jo shareeke-hayaat ban na sake tumhaari shaa dii men shirkat to kar hi sakte hain

Zia Mazkoor25 Likes

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Zia Mazkoor

shah se chupke qaidee ne shehzaa dii ko paigaam likha jang se bhaagne waalon men shehzaade ka bhi naam likha dooradraaz se aane waale khat meri hamsaahi ke the ik din usne himmat karke apna asli naam likha ham dono ne apne apne deen pe kaayam rahna tha ghar ki ik deewaar pe allah ik deewaar pe raam likha ek mohabbat khatm hui to doosri ki taiyaari ki nayi kahaanii ke aagaaz men pahli ka anjaam likha

Zia Mazkoor

17 likes

hamaare saath koi mas'ala furaat ka hai wagarana ilm use apni mushkilaat ka hai mere hisaab se maazoori husn hai meraa agar ye aib hai to bhi KHuda ke haath ka hai ik aadhe kaam ke haq men to khair main bhi hoon tumhaare paas to daftar shifaarishaat ka hai hamaari baat ka jitna wasi'a pahluu hai zubaan pe laane men nuksaan kaaynaat ka hai ham uske hone na hone pe kitna lad rahe hain kisi ke vaaste yah khel nafsiyaat ka hai

Zia Mazkoor

8 likes

kis tarah eimaan laaun khwaab ki taabeer par chipkali chadhte hue dekhi hai us tasveer par usne aisi kothri men qaid rakha tha ha men raushni aankhoñ pe padtii thii ya phir zanjeer par maayein beton se khafa hain aur bete maon se ishq ghalib aa gaya hai doodh ki taaseer par main unhin aabaadiyon men jee raha hota kahii tum agar hanste nahin us din meri taqdeer par

Zia Mazkoor

19 likes

be-sabab us ke naam ki main ne kaat to li thii zindagi main ne vo mujhe KHvaab men nazar aaya aur tasveer kheench li main ne aap ka kaam ho gaya aqaa laash dariyaa men fenk dii main ne khel tu is li.e bhi haarega chaal chalni hai aakhiri main ne ek vo be-hijaab aur us par daal rakkhi thii raushni main ne

Zia Mazkoor

29 likes

isee nadaamat se us ke kandhe jhuke hue hain ki ham chha dii ka sahaara lekar khade hue hain yahaañ se jaane ki jal dii kis ko hai tum batao ki sootkeson men kapde kis ne rakhe hue hain kara to loonga ilaqa khaali main lad-jhagad kar magar jo us ne dilon pe qabze ki.e hue hain vo KHud parindon ka daana lene gaya hua hai aur us ke bete shikaar karne ga.e hue hain tumhaare dil men khulii dukano se lag raha hai ye ghar yahaañ par bahut purane bane hue hain main kaise baawar karau'n jaakar ye raushni ko ki in charaaghon pe mere paise lage hue hain tumhaari duniya men kitna mushkil hai bach ke chalna qadam qadam par to aastaane bane hue hain tum in ko chaaho to chhod sakte ho raaste men ye log vaise bhi zindagi se kate hue hain

Zia Mazkoor

15 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zia Mazkoor.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zia Mazkoor's ghazal.