aahofughaan kisi se bichhurne ka maatam manaane ka mauka milega tabhi to ye shayar ghazal kah sakega wagarana mujhe kya badan hi badan hain yahaañ she'r padh doon vahaañ waah sun loon idhar saath chhodoon udhar haath thaamun puraani ghazal men naye she'r jodu kahiin dil laga loon kahiin dil ko todoon mujhe kya mujhe to ji.e jaana hai bas muhabbat muhabbat ki.e jaana hai bas magar mere logon zara ye to socho muhabbat kii maari ye naslein tumhaari bichhurne ke dukh se nikal bhi sakengi agar ladkhadaaiin sambhal bhi sakengi bhala kiske likkhe ghazal padh ke inko lagega ki aahofughaan aur bhi hai
Related Nazm
meri dastaan vo din bhi kitne ajeeb the jab ham dono qareeb the shabab-e-hizr na tu na main sab apne-apne naseeb the tu hi meri duniya thii main hi teraa jahaan tha mujhe tere hone ka gurur tha tujhe mere hone par gumaan tha tere saath bitaaye the woh din vo raate kitnii haseen thius kamre men thii jannat saari ek bistar par hi zameen thii teri god men sar rakhkar main gazle apni sunaata tha tu sunkar shayari so jaati thii main teri khushbu men kho jaata tha meri kaamyaabi ki khabren sun mujhse zyaada jhooma karti thii vo bewajah baaton-baaton men meraa maatha chooma karti thii meri har pareshaani men woh meri hamdard thii,हमसाया thius se badhkar kuchh na tha bas vahii ek sarmaaya thii mulaqaat na ho to kahti thii main kaise aaj so paaoongi mujhe gale laga kar kahti thii main tumse juda na ho paaoongi ik aaina thii woh meraa usse kuchh bhi nahin chhupa tha har cheez jaanti thii meri meraa sab kuchh use pata tha yaar vahii chehre hain apne vahii ehsaas dil men hai phir kyuuñ dooriyaan badh si gaii kyuuñ rishte aaj mushkil men hai kaii sawaal hain dil men ek-ek karke sab sunogi kya main shuroo karta hooñ shuroo se ab sabka javaab dogi kya kyuuñ lautaa dii angu thii mujhe kyuuñ badal ga.e sab iraade tere kya hua teri sab kasmon ka ab kahaan ga.e sab vaade tere tere in mehn dii waale haathon men kisi or ka ab naam hain ik haadsa hain mere li.e ye maana tere li.e inaam hain apne hijr ki vo pahli raat tab khayal to meraa aaya hogaa aayi hogii sab yaaden puraani meri baaton ne bhi rulaaya hogaa jaise mujh men koi cheekh raha hain meri rooh-rooh tak so rahi hain main apni daastaan likh raha hooñ aur meri shayari ro rahi hain bas yahii iltijaa hain KHuda se koi itnaa bhi pyaara na bane kaii sooraten ho saamne nazar ke par koi hamaara na bane
"Nadeem khan' Kaavish"
16 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
yaar yaar tha main tumhaara ya mahaj koi seedhi manzil tak pahoonch ga.e peeche dekha tak nahin jo seekh kisi ne nahin vo seekh pedon ne dii chhaaon lete rahe magar tumhaari aari ruki nahin bachpan men khela karte saath ham saanp seedhi utara ye zindagi men kab bhank tak lagii nahin sapne bhi saath bune the bahut umeedein bhi thii kaii baadlon ki sair par nikal ga.e tum par main nahin agar rukhsat ki hoti khabar zaraa si bhi tab maa se do roti zyaada banwaata nahin arpit maine ghoom phir kar yahii baat hai maani kaii milenge inke jaise ye zalim akelaa nahin
Arpit Sharma
13 likes
kacchi umr ke pyaar ye kacchi umr ke pyaar bhi bade pakke nishaan dete hain aaj par kam dhyaan dete hain bahke bahke bayaan dete hain unko dekhe hue muddat hui aur ham ab bhi jaan dete hain kya pyaar ek baar hota hai nahin ye baar-baar hota hai to phir kyuuñ kisi ek ka intizaar hota hai vahii to saccha pyaar hota hai achha pyaar bhi kya insaan hota hai kabhi saccha kabhi jhoota be-iimaan hota hai uski ragon men bhi kya khaandaan hota hai aur maqsd-e-hayaat nafa nuqsaan hota hai pyaar to pyaar hota hai
Yasra rizvi
47 likes
saza har baar mere saamne aati rahi ho tum har baar tum se mil ke bichhadta raha hooñ main tum kaun ho yah KHud bhi nahin jaanti ho tum main kaun hooñ main KHud bhi nahin jaanta hooñ main tum mujh...ko jaan kar hi padi ho azaab men aur is tarah KHud apni saza ban gaya hooñ main tum jis zameen par ho main uskaa KHuda nahin pas sar-basar ajeeziyyat wa aazaar hi raho bejaar ho gaii ho bahut zindagi se tum jab bas men kuchh nahin hai to bezaar hi raho tum ko yahaan ke saaya wa partau se kya ghaz tum apne haq men beech ki deewaar hi raho main ibtida-e-ishq se be-mehar hi raha tum intiha-e-ishq ka meyaar hi raho tum KHoon thooktee ho yah sun kar khushi hui is rang is ada men bhi purkaar hi raho maine yah kab kaha tha mohabbat men hai najaat maine yah kab kaha tha wafadar hi raho apni mataa-e-naaz luta kar mere li.e bazaar-e-iltefaat men nadaar hi raho jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de sakaa gham men kabhi sukoon rafaqat na de sakaa jab mere sab charaagh-e-tamanna hawa ke hain jab mere saare khwaab kisi be-vafa ke hain phir mujh...ko chaahne ka tumhein koi haq nahin tanhaa karaahne ka tumhein koi haq nahin
Jaun Elia
44 likes
More from Gaurav Singh
naye baras ke pahle pahle hamne abki soch rakha hai naye baras ke pahle pahle apne dil ka laash kahiin par dafna denge ya phir isko samjha denge jaahil apni had men rah kar ishq kiya kar sahi galat sab dekh liya kar varna pyaare is duniya ke log bahot beghairat hain tujhko qadam qadam pe todenge barbaad karenge ye tujhko phir tuun tanhaa yahaañ vahaañ bhatkega dhak-dhak dhadkega isse behtar naye saal se ishq vishk ke paagalpan se door rahenge kaam karenge hamne abki soch rakha hai naye baras men naam karenge
Gaurav Singh
1 likes
aurat duniya kya hai ik aurat hai phir ye dharti god hai uski chaand sitaare uske saa thii aasmaan phir ghar ho shaayad baarish kya hai uske aañsu patjhad kya hai uske dukh hain jheelein kya hain dil hai shaayad paani kya hai uski mamta faslen paudhe aulaaden hain phool-parindey ye bhi shaayad tez hawaaein bahnen hongi ham sab kya hain bura waqt hain bura waqt hain tal jaayenge phir ye aurat bach jaayegi
Gaurav Singh
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Gaurav Singh.
Similar Moods
More moods that pair well with Gaurav Singh's nazm.







