aaj ki raat saaz-e-dard na chhed dukh se bharpoor din tamaam hue aur kal ki khabar kise maaloom dosh-o-farda ki mit chuki hain hudoos ho na ho ab sehar kise maaloom zindagi hech lekin aaj ki raat ezdiyyat hai mumkin aaj ki raat aaj ki raat saaz-e-dard na chhed ab na dohraa fasaana-ha-e-alam apni qismat pe sogwaar na ho fikr-e-fardaa utaar de dil se umr-e-rafta pe ashk-baar na ho ahad-e-gham ki hikaayaten mat pooch ho chuki sab shikaayaten mat pooch aaj ki raat saaz-e-dard na chhed
Related Nazm
meraa sansaar mere man ka sukoon bhi tum ho tum hi meri manzil uskaa junoon bhi tum ho meraa din bhi tum ho meri raat bhi tum ho meri neend bhi tum ho mere jazbaat bhi tum ho meraa har lamha tum ho mere haalaat bhi tum ho meraa jeevan bhi tum ho iski masti bhi tum ho hooñ agar main majhdhaar to phir iski kashtii bhi tum ho agar hooñ main shareer to iski asthi bhi tum ho aur hooñ agar main aatma to iski mukti bhi tum ho meraa vairaagya bhi tum ho meri aasakti bhi tum ho meraa eeshwar bhi tum ho meri bhakti bhi tum ho main agar dil hooñ to iski dhadkan bhi tum ho meri har baat tum ho meri tardpan bhi tum ho meri swatantrata bhi tum ho meraa bandhan bhi tum ho meraa sukh bhi tum ho meri muskaan bhi tum ho meraa dukh bhi tum ho meraa sammaan bhi tum ho meraa bal bhi tum ho meraa swaabhimaaan bhi tum ho meri praarthana bhi tum ho meraa abhimaan bhi tum ho meraa har kaam bhi tum ho thak jaaun to aaraam bhi tum ho bheje hain tujhko chaand ke haathon vo saare paigaam bhi tum ho saanson men bas teraa naam hai meraa to anjaam bhi tum ho meraa to aadhaar hi tum ho meri to sarkaar hi tum ho meri to faqeeri bhi tum ho khazane ka ambaar bhi tum ho mere labon ka maun bhi tum ho mere dil ki pukaar bhi tum ho meri to kutiya bhi tum ho meraa raaj-darbaar bhi tum ho meraa har vikaar bhi tum ho meraa to shrungaar bhi tum ho meri jeet-haar bhi tum ho meraa gussa-pyaar bhi tum ho meraa to ghar baar hi tum ho jeene ke aasaar hi tum ho kaise main bataau tujhe tumhaare bin main kuchh bhi nahin meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
janmdin mubarak din ye sone se raatein ye rangeen mubarak ai meri saanson ki ravaani tujhko teraa janmdin mubarak bhavren muskaayein phoolon ki daali-daali hansein jab tu muskaaye tere honthon ki laali hansein meraa qatl kare tere nain kajraare kaale majrooh hue na jaane kitne matwaale tujhko ye bahaarein shaukeen mubarak ai meri tasavvur ki raani tujhko teraa janmdin mubarak
Vikas Sangam
15 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
yaad dast-e-tanhaai men ai jaan-e-jahaan larzaan hain teri awaaz ke saa.e tire honton ke saraab dast-e-tanhaai men doori ke khas-o-khaak tale khil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaab uth rahi hai kahiin qurbat se tiri saans kii aanch apni KHushboo men sulagti hui madhham madhham door ufuq paar chamakti hui qatra qatra gir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnam is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha hai dil ke rukhsaar pe is vaqt tiri yaad ne haath yuñ gumaan hota hai garche hai abhii subh-e-firaq dhal gaya hijr ka din aa bhi gaii vasl kii raat
Faiz Ahmad Faiz
3 likes
vo jis ki deed men laakhon masarratein painhaan vo husn jis ki tamannaa men jannaten painhaan hazaar fitne tah-e-pa-e-naaz khaak-nasheen har ik nigaah khumaar-e-shabaab se rangeen shabaab jis se takhayyul pae bijliyaan barse vaqaar jis ki rafaqat ko shokhiyaan tarsen ada-e-laghzish-e-pa paar qayaamaatein qurbaan bayaaz-rukh pae sehar ki sabahtein qurbaan siyaah zulfon men waarfta nikhaton ka hujoom taveel raaton ki khwaabida raahaton ka hujoom vo aankh jis ke banaav pa khaaliq itr aa.e zabaan-e-sher ko taa'riif karte sharm aa.e vo hont faiz se jin ke bahaar laala-farosh behisht o kausar o tasneem o salsabeel b-dosh gudaaz jism qaba jis pae saj ke naaz kare daraaz qad jise sarv-e-sahi namaaz kare garz vo husn jo mohtaaj-e-wasf-o-naam nahin vo hasan jis ka tasavvur bashar ka kaam nahin kisi zamaane men is rah-guzar se guzra tha b-sad ghuroor o tajammul idhar se guzra tha aur ab ye raah-guzar bhi hai dil-fareb o haseen hai is ki KHaak men kaif-e-sharaab-o-sheer makeen hawa men shokhi-e-raftaar ki adaayein hain fazaa men narmi-e-guftaar ki sadaaein hain garz vo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai niyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah muyassar hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
tum na aa.e the to har ik cheez vahii thii ki jo hai aasmaañ hadd-e-nazar raahguzar raahguzar sheesha-e-may sheesha-e-may aur ab sheesha-e-may raahguzar rang-e-falak rang hai dil ka mire khoon-e-jigar hone tak champai rang kabhi rahat-e-deedaar ka rang surmai rang ki hai saaat-e-bezaar ka rang zard patton ka khas-o-khaar ka rang surkh phoolon ka dahakte hue gulzaar ka rang zahar ka rang lahu rang shab-e-taar ka rang aasmaañ raahguzar sheesha-e-may koi bheega hua daaman koi dukhti hui rag koi har lahza badalta hua aaina hai ab jo aa.e ho to thehro ki koi rang koi rut koi shay ek jagah par thehre phir se ik baar har ik cheez vahii ho ki jo hai aasmaañ hadd-e-nazar raahguzar raahguzar sheesha-e-may sheesha-e-may
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
vo vaqt mirii jaan bahut door nahin hai jab dard se ruk jaayeñgi sab zeest ki raahen aur had se guzar jaayega andoh-e-nihaani thak jaayeñgi tarsi hui naakaam nigaahen chin jaayenge mujh se mire aañsu mirii aahen chin jaayegi mujh se mirii be-kaar jawaani shaayad mirii ulfat ko bahut yaad karogi apne dil-e-maasoom ko naashaad karogi aaogi mirii gor pe tum ashk bahaane nau-khez bahaaron ke haseen phool chadhaane shaayad mirii turbat ko bhi thukra ke chalogi shaayad mirii be-sood wafaon pe hansogi is waz-e-karam ka bhi tumhein paas na hogaa lekin dil-e-naakaam ko ehsaas na hogaa al-qissaa maal-e-gham-e-ulfaat pe haso tum ya ashk bahaati raho fariyaad karo tum maazi pe nadaamat ho tumhein ya ki masarrat KHaamosh pada soega vaamaanda-e-ulfaat
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
sach hai humeen ko aap ke shikwe baja na the be-shak sitam janab ke sab dostana the haan jo jafaa bhi aap ne ki qaayede se ki haan ham hi kaarband-e-usool-e-wafa na the aa.e to yuñ ki jaise hamesha the meherbaan bhule to yuñ ki jaise kabhi aashna na the kyun daad-e-gham humeen ne talab ki bura kiya ham se jahaan men kushta-e-gham aur kya na the gar fikr-e-zakhm ki to khata-waar hain ki ham kyun mahw-e-madh-e-khoobi-e-tegh-e-ada na the har chaaragar ko charagari se gurez tha warna ha men jo dukh the bahut la-dava na the lab par hai talkhi-e-may-e-ayyaam warna faiz ham talkhi-e-kalaam pe maail zaraa na the
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's nazm.







