nazmKuch Alfaaz

ai ajnabi kyun baar-baar tum mujhe yaad karti ho ai ajnabi kyun baar-baar tum mujhe yaad karti ho apna keemati waqt kyun mujhpar yuñ barbaad karti ho swajan ho saa thii ho bolo aaKHir tum kaun ho agar ho 'aashiq meri to phir tum abtak kyun maun ho nishchit hi tum mohabbat ke izhaar se darti ho jab kehne men itni diqqat hai to pyaar kyun karti ho kahiin darti tum us na se to nahin jo bayan-e-ishq pe sunna pade mohabbat bhi poori na ho aur naya saa thii bhi Dhoondhna pade par ye bhi to sach hai naa mohabbat men dosti saraab hai ik baar mohabbat ho jaa.e to bas dost rah p aanaa KHvaab hai KHair chhodo ye fuzool kii baatein chalo bas itnaa hi bataa do kyun kar bai thii mohabbat mujhse is raaz se to parda hata do seedha dil hi laga bai thii mujh men aisa bhi kya dekh liya tumne jo khoobiyaan tumne dekhi hain kaash k abhii to dekha hota usne ab padh hi liya hai aankhoñ ko meri to kyun na mujhpar ek ehsaan kar do jis nazariye se tumne dekha hai mujhe vo saleeqa us..ko daan kar do vo padh sake dil ko mere ye aziz hunar tum use bhi seekha do is fareb-e-duniya ke andhere men ek raushni mohabbat kii tum use dikha do m aanaa ki main ladka hooñ par zindagi meri bhi aasaan nahin k abhii dekho gaur se chehre ko mere ispe pehle-si vo muskaan nahin ab tum hi koii chamatkaar dikha do is raanjhe kii muskaan lautaa do Dhoondh kar tum pata kahiin se meri heer ko meraa haal bataa do vo mil jaa.e tumhein to achha hai na mile tab bhi koii gilaa nahin tum laut j aanaa ghar ko apne sochna main tumse k abhii mila nahin samajhkar ik fuzool KHvaab tum is anchah qisse ko bhula dena ghotkar gala jazbaat ka apne armaanon ko tum sula dena ba dii mushkil se sambhaalaa hai KHud ko mujhe dobara todne na aanaa kahiin aur dil laga lena tum mujhse rishta jodne na aanaa jis milan kii tumko hasrat hai vo milan kadachit sambhav nahin dil lagaane ko bechain ho tum tumhein dil tootne ka anubhav nahin ye dobara dil lagaane ka hunar mujhe raas nahin aata toote dil ko mohabbat ka ab koii ehsaas nahin bhaata kaise haan kah doon main tumko jab dil men mere koii aahat nahin bas tumhaari khushi ko KHuda maan loon kya meri apni koii chaahat nahin mohabbat se main samjhauta kar loon nahin mujh...ko ye manzoor k abhii bas dil bahaalne ko dil laga loon nahin itnaa main majboor abhii m aanaa ki hooñ thoda toota magar kisi hamdar dii kii chaahat nahin tumhaara hona bhi ek dar hai is maujoodgi se mujhe koii raahat nahin bas bhi karo yuñ yaad karna mujhe ye musalsal hichakiyaañ ab sahi nahin jaatein be-dard ye be-rukhi baatein baar-baar mujhse ab kahii nahin jaateinna jaane kyun meri khaatir tum apnon se fasaad karti ho mujh kaafir ke ishq men KHud ko kyun naashaad karti ho ai ajnabi kyun baar-baar tum mujhe yaad karti ho apna keemati waqt kyun mujhpar yuñ barbaad karti ho ai ajnabi kyun baar-baar tum mujhe yaad karti ho

Rehaan2 Likes

Related Nazm

ped satrah athraah saal ki thii vo jab vo duniya chhod gaii thii aakhiri saansen ginti ladki mujhse himmat baant rahi thii haath pakad ke daant rahi thii aise thodii karte hain aashiq thodii marte hain jism to ek kahaanii hai saansen aani jaani hain usne kaha tha pyaare ladke sabse milnaa hañs ke milnaa meri yaad men ped lagana paagal ladke ishq ke haami mere peeche mar mat jaana ishq kiya tha ishq nibhaana

Rishabh Sharma

20 likes

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

haal-e-dil meri dilruba tum khoobsurat ho soorat se nahin seerat se mujhe tumhaari seerat se muhabbat hai isi li.e seerat ka jaanta hooñ sharm dahshat pareshaani jinhen sukhnavaron kaviyaan ne ishq kii lazzat bataaya hai filhaal ye mere darmiyaañ aa rahe hain bahaal meri chahten tumhaare nafs men dhadkati hain zinda rahtii hain maine tumhein dekha hai dekhte hue mujhe chahte hue mujhe sochte hue aur mere li.e pareshaan hote hue vaise chaahat ho to kehna laazmi hota hai zaroori hota hai lekin ishq kii qaaynaat men lafz KHaamosh rahte hain aur nigaahein baat kar letii hain mujhe pata hai ek din tum meri nigahon se baat kar logi pooch logi aur tumhein javaab milega haan main bhi chahta hooñ khoob chahta hooñ vaise main bhi apne nagmon apni ghazlon men muhabbat khoob likhta hooñ haalaanki sadaqat ye hai ki main bhi kehne men khauf khaata hooñ vaise bura na maanna ki maine tumse kabhi izhaar nahin kiya soch lena ki theory aur practical men farq hota hai khairab jo meraa maujooda haal hai vo ye hai ki aa.e din dil aur dimaagh mas'ala khada kar dete hain dil kahtaa hai tum khoobsurat ho dimaagh kahtaa hai manzil pe ikhtiyaar karo bahaal tum khoobsurat ho tum ziyaada khoobsurat ho tum sabse ziyaada khoobsurat ho tum hi khoobsurat ho

Rakesh Mahadiuree

25 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

More from Rehaan

bas phir se sadak par daud chali hai bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar ko aa raha hooñ main kam ho rahi har ek meel kii doori pe apne dil kii dhadkanein badha raha hooñ main din guzra hai aaj phir waisa hi thakaan bhara par KHud ko abhii bahut amlaan pa raha haan main chaaya hai aakaash men andhera ghana amaavas ka khayaalon men tere roop-sa chaand basaa raha hooñ main maankar saakshi peechhe chhootte har ek gaav ko ateet kii s abhii ranjishon se kasak mita raha hooñ main raat kuchh kat chuki hai kuchh dhalni ab bhi baaki hai savera jald hone kii ummeed laga raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar ko aa raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar se khaali haath ja raha hooñ main badh rahi har ek meel kii doori pe tere ki.e vo s abhii vaayde bhula raha hooñ main raat tere KHvaabon se neend mukammal shaadaab hui jaane phir kyun KHud ko itnaa klaant pa raha hooñ main maaloom hai chaand ko ab mohabbat nahin chakor se phir bhi baadlon ko hi doshi thehra raha hooñ main koshishon men koii kamii shaayad mujhse hi rah gaii hogii tujhse naaraz is dil ko har baar yahii samjha raha hooñ main chubhne lage hain ab ye fuzool ke ujaale aankhoñ men andhera jald hone kii ardaas laga raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar se khaali haath ja raha hooñ main

Rehaan

1 likes

aisa kyun hota hai aisa kyun hota hai jaata hai koii to laut ke phir na vo aata dobaara aisa kyun hota hai chanda ke jaane se lagta falak ye soona saara duniya ye pyaar kii dushman isse na paar paata hai dil aisa kyun hota hai maula apnon se haar jaata hai dil aisa kyun hota hai dil jo bichhadte hain din na guzarte hain shaamen na kattee hain raatein na chhatti hain lagta nahin kahiin dil ye bechaara aisa kyun hota hai rahtii hain aañkhen nam ho nahin paata hai guzaara vaade ki.e the usne jo vaade the uske saare jhoothe jitna use tha kal chaaha KHud se hain aaj utne roothe aisa kyun hota hai bhoolna chaahoon to dil ko manaauun to dil na samajhta hai mujhse ulajhta hai karta hai uspe hi bas ye ishaara aisa kyun hota hai jab bhi yuñ hota hai dil ye ho jaata be-sahaara

Rehaan

1 likes

Afsos 2

Rehaan

0 likes

do jaanib ek main hooñ ek tu hai dono bade naadaan hain tu mujhse aur main KHud se dono hi anjaan hain teri galiyaan swarg hain jaise meraa shahar shamshaan hai main shama' kab se bujha hua tujh par patange qurbaan hain khushiyaan tere qadam choomtiin gham mere mehmaan hain tujh par KHuda fida hai mujhse gharwaale tak pareshaan hain mujhe ki bas ik KHvaahish teri tujhe ki saikron armaan hain meri qismat men tu hi nahin tujh par qismat mehrbaan hai main tere li.e kuchh bhi nahin tu mere li.e bhagwaan hai tere dil men bhale rehaan na ho teri zindagi phir bhi rehaan hai

Rehaan

2 likes

aashiqi(khawaab haqeeqat aur KHuda koii soorat nazar ko lubha jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii KHushboo saanson ko bha jaa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi sargam labon pe chhaa jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii KHvaab dil men samaa jaa.e to usii ka naam aashiqi hai meraa KHvaab tha ki tujhe bhaaya karoon tere sapnon men main aaya karoon bachakar chaand-sitaaron kii nazar se tujhe falak kii sair pe le jaaya karoon is qadar tu mujhse pyaar kare mere fareb pe bhi aitbaar kare kabhi radha banke to kabhi meera banke har janam bas meraa hi intzaar kare tu mushkilon men meraa saaya bane mujhe dhoop lage to chaaya bane jab haar jaaun main ummeedein sabhi tu eeshwar kii koii maaya bane koii maaya eeshwar bhi piro na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii dil ghar chain se so na paa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi aañkhen khul ke ro na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii KHvaab haqeeqat ho na paa.e to usii ka naam aashiqi hai ik haqeeqat jisne bas sitam kiya har baar aankhoñ ko nam kiya tujhe kitna maine chaaha magar tune na mujhpar koii karam kiya tere intzaar men sadiyaan beetii meri har khushi zindagi se roothi meri ummeedein sab simat kar rah gaii bas tamannaaen kuchh yuñ tooti meri adhoora khwahish-e-gulaab rah gaya meraa KHvaab bas ik KHvaab rah gayana ho sakaa vo mukammal kabhi bin chakor ke hi mehtaab rah gaya koii chaand chakor bin rah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii kaafir naz men kah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi aankh se paani bah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii bin bole sab sah jaa.e to usii ka naam aashiqi hai koii kitna sahe ye bataa de KHuda meraa ishq mujhe ab lautaa de KHuda chhat jaa.e andhera har khushi se meri koii aisi raushni tu dikha de KHuda meri mannaton ka tu lihaaz kar mere paagalpan ka ilaaj kar main karta phiroon shukriya teraa kuchh aisa meraa mizaaj kar mujhe fir koii gham na sata sake vo mujhse nazarein na hata sake jud jaa.e dhadkanein kuchh is tarahus dil se na kabhi koii mita sake koii dhadkan dil se bichhad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii galatiyon pe bhi jhagad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai kabhi KHuda bhi zid pe ad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai koii rishta yugon tak ujad na paa.e to usii ka naam aashiqi hai

Rehaan

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rehaan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rehaan's nazm.